Wednesday 22 March 2017

Hazrat Ali (R.A) ki Izzat-e-Nafs aur Khud Atmaadi


Hazrat Umar (R.A) ke is imaan aur is imaan ke liye unn ke taasub ney unhein paish gaah nabuwat mein bhi izzat e nafs aur khud itmadi ke izhaar se nahi roka. Apni raye par unhein is qader aetmaad tha aur is ki taied mein woh aisi zabardast daleelen paish karte they ke is khasusiyat mein koi musalman un ki barabari nahi kar sakta tha.

Yeh sahi hai ke is zamane ke musalman jamood wabay amli se na aashna they. Un mein jo sahib raye hota woh Rasool Allah (PBUH) ki khidmat mein be-jhijak mahswara paish kar daita tha aur apni raye manwane ya mukhalif raye qubool karne mein behas ko apna jaaiz haq samjhta tha. 

Is muamlay mein un ki misaal unn musalmanoon ki si thi jo shorish-o-Bagawatke zamanoon mein chahtay they ke shorish-o-Bagawat ko is ke usool ke aakhri nuqtay taq pouncha den lekin Hazrat Umar (R.A) ki saaf goi aur jurrat un se barhi hui thi. Unhein Rasool Allah se be-intahaa mohabbat thi aur woh huzoor ki risalat par kabil-e-rashk imaan bhi rakhtay they lekin is ke bawajood khidmat nabwi mein apni raye ke asbat-o-israr mein unhein koi takalouf na hota tha..
DNA aur DATA


Columbia university aur New York Geunum center ne science magazine mein apni nai tehqeek shaya ki hai, jis ke mutabiq unhon ne DN mein data mehfooz bhi kya hai aur usay dobarah haasil bhi kya hai. 

Is tehqeeq mein shaamil logoon ne kamyabi se DNA mein computer operating system, francesi film, 50 dollar ka amazon gift card aur computer virus waghera ko mehfooz bhi kya aur usay dobarah haasil bhi kar liya.

DNA mein data store karne ke bohat se fawaid hain. Riwayati media ke bar-aks is ka size bohat hi ziyada kam hai. Mahireen (Experts) ke mutabiq aik gram DNA mein 215 Petta Bites (PB) data mehfooz kya ja sakta hai. Is ka matlab hai ke aik gram DNA mein aik Tera Bites (TB) ki 2 laakh 15 hazaar hard drives ke barabar data mehfooz kya ja sakta hai.

Mahireen (Experts) ke mutabiq DNA mein mehfooz kiye hue data ko 100 saal baad bhi re-store karen to yeh aaraam se re-store ho jaye ga.
Mare (Dead) howe logon se baat karen



South Korea ki company ne aik software banaya hai jis ki madad se log apne marnay walay payaron ki digital shakhsiyat ke sath baatein karne ke ilawa unn ke sath selfie bhi banawa satke hain .


WITH ME Nami application ke kaam karne ka tareeqa kuch is terhan hai ke sarfeen ko, jab ke woh zindah hon, aik scanning booth ka visit karna parta hai


Yahan computer unn ki 3D scanning karta hai aur unn ki digital shakhsiyat bana deta hai. Is ke baad is digital shakhsiyat ko application mein load kya jata hai.


Is ke baad woh Sarif apni khud ki digital shakhsiyat ke sath baatein kar sakta hai aur is ke sath selfie bana sakta hai jabkay uss ke baad uss ke pyare is digital shakhsiyat ke sath selfie bana satke hain. Is se baatein kar satke hain .





yeh bilkul Pockemon game ki terhan hai jis mein Pockemon haqeeqat mein mojood nahi hotay magar mobile par nazar aa rahay hotay hain. Is terhan WITH-ME application mein digital shakhsiyat sirf mobile mein hi mojood hogi aur log is ke sath kharray ho kar tasaveer bhi banava saken ge.
Asmaan Me Dikahi Dene Wali Cheez....


Hawa mein urti cheez ne shehar mein khalbali macha di, shehrion neh doren laga den, kaiyon neh usay khuda maan liya. Tafseelaat ke mutabiq african maluk Zimbabwe k aik shopping center mein insani Shabih ki terhan bani hui aik shakal baadal ki soorat mein guzar rahi thi jisay dekh kar shehrion ke hosh urr gaye.

Kuch neh to khauf ke maaray wahan se doren laga di jabkay kuch afraad neh is ki ebadat shuru kar di. Aini shahideen ke mutabiq is ki lambai mumkina tor par 100 meter thi jo ke fiza mein taqreeban 30 minute tak baadalon ki terhan terta raha. Mauqe par mojood logon ne is ki kuch tasaveer aur videos bhi banayen. Jo ke baad me social media par viral ho chuki hain. Tasaveer mein mehsoos hota hai jaisay yeh koi insani shakal ki baadal numa cheez hai jo shopping center ka jaiza le rahi ha.

Tuesday 21 March 2017

Malumat ka Khazana...

1. chunti (ant) k katne sy jalan formic acid ki wajah sy hoti hai.
2. Hydrogen bomb or cobalt bomb main hydrogen bomb ziada khatarnaak hai.
3. hathi (elephant) k dimag ka wazan (weight) 15 pond hai or raftaar 30 mile fi ghanta hai.
4. suraj par sub sy zaida hydrogen gas payi jati hai.
5. parrandon main sb sy zaida umar caw (crow)ki hoti hai .
6. saanp (snake) 2 saal tak bagair kuch khaye peeien rah sakta hai .
7. heera (diamond) jaliya ja sakhta hai pagliya (melt) nhi ja sakhta .
8. aik mile main 1.6 kilometer hotian hai.
9. chamgadar aik aisa janwar hai jo udhta bhi hai or dood (milk) bhi daita hai.
10.mandak (frog) aisa janwar hai jo 6 month jagta or 6 month sota hai.
11.insan k jism k 2 hazen nakoon (nail) or bal (hair) jo marny k baad bhi kuch arazy tak badhti rahti hai.
12.sab sy pahly vitamin c daryaft (discover) howa.
13.coila or heera carbon ki 2 shakalien hai.
14.sheeshe (mirror) k bunyadi ajaza soda, choona ,or rayait hai.


15.hening ki bo lasan jaisy hoti hai .asali hening ki pehchan aag lagany sy mom batik i tarah jalti hai.
Khuda k Kutte...


Baghdad par tataryon ki fatah aur mukammal qabzay ke baad, Hallaku Khan ki beti shehar (City) mein gasht kar rahi thi ke isi Isna mein is ki aik hajhoom par nazar pari. Poocha log yahan kyun ikathay hain? jawab aaya : aik aalam ke paas kharray hain. Hallaku Khan ne ki beti ne aalam ko apne samnay paish honay ka hukum diya. Aalam ko tatari shehzadi ke samnay laa haazir kya gaya.
Shehzadi musalman aalam se sawal karne lagi " kya tum log Allah par imaan nahi rakhtay''? Aalam :'' yaqeenan hum imaan rakhtay hain."

Shehzadi ny musalman aalam se dosra sawal kya, Kya tumhara imaan nahi ke Allah jisay chahay ghalib karta hai? aalam :'' yaqeenan hamara is par imaan hai''. Shehzadi ny phir sawal poocha ''kya Allah ny aaj hamein tum logon par ghalib nahi kardiya hai''? Aalam : yaqeenan kardiya hai.

Shehzadi : to kya yeh is baat ki Daleel nahi ke kkhuda hamein tum se ziyada chahta hai? Aalam : ''Nahi asa nahi hai''. Shehzadi : kaisay? Aalam :''tum ny kabhi charwahay ko dekha hai' '? shehzadi : ''haan dekha hai''. Aalam : ''kya is ke raywar ke peechay charwahay ny apne kuch kuttay bhi rakh chhorey hotay hain''? Shehzadi : ''haan rakhay hotay hain''. Aalam :''acha to agar kuch bhirhin (Sheeps) charwahay (Shepherd) ko chore ko kisi taraf ko nikal khari hon, aur charwahay ki sun-nay ko tayyar hi nah hon, to charwaha kya karta hai''? shehzadi : ''woh un ke peechay apne kuttay dorata hai taakay woh un ko wapas raywar le ayen''. Aalam : ''woh kuttay kab taq un bheiron ke peechay parre rehtay hain''? Shehzadi : ''jab taq woh faraar rahen aur charwahay ke Iqtidaar mein wapas nah ajayeen''. 

Aalam : ''to aap tatari log zameen mein hum musalmanoon ke haq mein khuda ke chhorey hue kuttay hain jab taq hum khuda ke Dar se bhage rahen ge aur is ki itaat par nahi ajayeen ge, tab taq khuda tumhe hamaray peechay doraye rakhay ga, tab tak hamara aman chain tum hum par haraam kiye rakho ge, haan jab hum khuda ke Dar par wapas ajayeen ge aas din tumhara kaam khatam hojaye ga


Quran ki Rehnumai....
Is se barri Nemat hum pedaishi musalmanoon ke liye shayed hi koi ho ke Allah taala ne hamein musalmanoon ke ghar peda kya aur hamein deen islam ki khoj nahi karna pari. Bohat se log jo Islam ko tehqeeq-o-tajzia ke baad apnatay hain woh hum musalmanoon se aala kirdaar ke haamil ho jatay hain. Jin logon par khuda ka fazal howa aur unhon ne Islam qubool kya un ke qubool Islam ke herat angaiz wakiyat hain. Qubool Islam ka yeh waqiya herat angaiz bhi hai aur sabaq amooz bhi.

Herat angaiz is aitbaar se ke Nuzool-e-Quran ko kam o besh daidh hazaar saal ka arsa guzar janey ke baad bhi aaj tak is nuktay par kisi ki nazar nah jaski jo aik American doctor ke qubool Islam ka muharrak bani aur sabaq amooz is pehlu se hai ke kitaab Ellahi mein ghor aur tahaqeeq justojoo bandgaan-e-khuda ke liye hadaayat o Magfirat ke darwazay kholnay aur Sarat-e-mustaqeem par gamzan honay ka aaj bhi itna hi muasar zareya hai jitna woh nuzool wahi ke waqt tha. America ke aik hospital mein aik ajeeb o ghareeb waqiya paish aaya aur is waqeye ke zirasr American doctor musalman hogaya. Hospital mein aik roz delivery ke doo case aik sath aye. Aik aurat se larka peda howar, doosri se larki' jis raat un dono bachon ki wiladat hui ittafaq se nigran doctor mauqa par mojood nahi tha' dono bachon ki kalayi mein woh patti bhi nahi baandhi hui thi jis par bachay ki maa ka naam darj hota hai to nateeja yeh howa ke dono bachay galat malat hogaye aur doctoron ke liye yeh shanakht karna mushkil hogaya ke kis aurat ka kon sa bacha hai halaank un mein se aik larki thi aur dosra larka...

Wiladat ki nigrani karney wale doctoron ki team mein aik musalman Misri (Egyptain) doctor tha jis ko apne fun (Skills) mein barri mahaarat haasil thi aur american doctoron se is ki barri achi dosti thi aur apne staff ke aik American doctor se gehri dosti thi. Dono doctors sakht pareshan they ke is mushkil ka hal kaisay nikala jaye? American ghair muslim doctor ny Misri doctor se kaha ke tum to daawa karte ho ke quran har cheez ki tashreeh karta hai aur is mein har terhan ke masail ka ehata kya gaya hai to ab tum hi batao ke un mein se kon sa bacha kis aurat ka hai ?

Misri doctor ne kaha ke haan quran hakeem be shak har mamlay mein rahnumai hai aur mein usay aap ko saabit karkay dukhao ga. Magar mujhe zara mauqa dijiye ke mein khud pehlay is mamlay mein etminan haasil karloon. Chunancha Misri doctor neh baqaida is maqsad ke liye misar ka safar kya aur Jam-e-Azher ke baaz shyokh se is maslay mein istafsaar kya aur American dost doctor ke sath ki gayi baat cheet ki rudaad bhi paish ki. Azhri Aalam ne jawab diya ke mujhe tibbi mamlaat-o-masail mein idraak haasil nahi hai. Albata mein quran ki aik aayat parhta hon. Aap is par gor-o-fikar karen. Allah taala neh chaha to aap ko is maslay ka hal is mein mil jaye ga. Chunancha is Aalam neh darj zail aayat parh kar sunai. '' tarjuma : Mard ka hissa do aurton ke barabar hai.'' ( Al-Nissa 11 ) Misri doctorr neh is aayat mein ghor shuru kar diya aur geherai mein jaany par usay is mushkil ka hal bil akhir mil hi gaya. Chunancha woh lout kar America aaya aur apne dost doctor ko aetmaad bharay lehjey mein bataya ke quran neh saabit kardiya hai ke un dono mein se kon sa bacha kis maa ka hai. American doctor ne barri herat se poocha ke yeh kis terhan mumkin hai ?

Misri doctor ney kaha ke hamein un dono aurton ka doodh test karne ka mauqa dijiye to is mamlay ka hal maloom hojaye ga. Chunancha tjzyie-o-tahaqeek ke nateejay mein maloom hogaya ke kon sa bacha kis aurat ka hai aur Misri doctor ney apne ghair muslim dost doctor ko is nateejay se poooray aetmaad ke sath aagah kar diya. Doctor heran-o-shashdar tha ke aakhir yeh kaisay maloom hogaya? Misri doctor ney bataya ke is tahaqeek-o-tjzyie ke nateejay mein jo baat samnay aayi hai woh yeh thi ke larke ki maa mein larki ki maa ke muqablay mein dugna doodh paaya gaya mazeed larke ki maa ke doodh mein namkiyat aur vitamins ki miqdaar bhi larki ki maa ke muqablay mein dogni theen.

Phir Misri doctor ney American doctor ke samnay quran kareem ki woh mutaliqa aayat talawat ki ( mard ka hissa do aurton ke barabar hai ) jis ke zariye is ney is mushkil ka hal talaash kya aur jis aqde ko hal karne mein dono doctor nihayat pareshan they. Chunancha woh American doctor foran imaan le aaya. Chunancha aisa hi aik waqea Hazrat Ali (R.A) ke zamane mein bhi paish aaya tha 1400 saal pehlay Islam ney is terhan ke paicheeda masail ko lamhoon mein kis terhan hal kya tha.

Is maqsad ke liye woh waqea yahan paish kya ja raha hai

Aap (R.A) ke zamana khilafat mein do aurton ki aik jagah aur aik hi raat mein zichgi hui. Aik larka aur doosri larki thi' larki wali ne apni larki ko larke wali ke jhulay mein daal kar larke ko le liya. Larke wali ne kaha ke larka mera hai yeh muqadma Aap (R.A) ke paas aaya. App (R.A) ne hukum diya dono ke doodh wazan kiye jayen jis ka doodh wazni hoga larka is ka hoga...
Herat Angeez Goli....



Is choti si goli ko kha kar aap apne jism mein kya kuch mukammal control kar saktay hain? Janye sadi ki sab se herat angaiz ijaad ke baray mein.

Apni sahet ke mutaliq jan-nay ke liye doctor ke paas jana parta hai aur kayi test karwa kar un ke nataij ka intzaar karna parta hai lekin ab science danon ne aik aisi device ijaad kar li hai jo lamha bah lamha aap ko aap ki sahet ke mutaliq aagah karti rahay gi.

Mail online ki report ke mutabiq yeh device aik goli ki shakal ki hai jisay silver bullet ka naam diya gaya hai. Usay nigal kar maiday mein pohancha diya jaye ga jahan yeh maiday mein mojood tezaab se tawanai haasil karkay chalti rahay gi aur aadmi ke andar reh kar is ki sahet ki nigrani karkay nataij mobile phone ki screen par dukhati rahay gi.

Report ke mutabiq yeh device Mesachosist Institute of Technology ke scientest ne ijaad ki hai. tahaqeeq kar doctor Philip ka kehna hai ke "Sliver Bullet ensaan ke andar se hi tawanai haasil karkay kayi haftay taq kaam karne ki salahiyat rakhti hai. Yeh goli maiday mein reh kar sahet ke mutaliq maloomat ikathi karkay mobile phone ko muntaqil karti rahay gi."  Yeh ijaad Bostan mein honay wali duniya ki sab se barri science conference mein muta-arif karwai gayi hai. 



Report ke mutabiq silver bullet mein sensor lagey hue hain jo musalsal jism ke daraja hararat aur dil ki dharkan ki nigrani karte rehtay hain. 30 mili meter lambi is device ke tajarbaat khanzeer par kiye gaye. Usay khanzeer ke nizaam inhizam se guzarnay mein 6 din lagey. Scientist neh insanon ke istemaal ke liye is ka chhota version bhi bana liya hai jis ki lambai sirf 10 mili meter hai. 
Sajda aur Kismat


Wazirabad aur Masjid Wazeer Khan ka naam kisi Pakistani ke liye ajnabi nahi. Lekin is shehar (city) aur masjid ko basanay aur bananay walay Nawab Wazeer Khan ke halaat se shayad bohat kam log aagah hon ge.

Nawab Wazeer Khan ka asal naam Aleem Al-deen Ansari tha. Woh Punjab ke aik mamooli se gaon mein jo Wazirabad ke qareeb hi waqia tha. Aik mamooli darja ke hakeem thay. Is gaon mein aur bhi hakeem mojood thay jin ki hikmat hakeem sahib ke muqablay mein khoob chalti thi. Is liye woh khoob khushaal thay.

Hakeem Aleem Al-deen be-had mut-taqi, Qanaat pasand, Allah tawakkal walay Sabir-o-Shakir aadmi they. Jo kabhi apni musarrat aur tang dasti aur apni naqadri par jaltay nahi they. Balkay usay maula ki marzi samajte hue har dam Allah ke shukar guzaar banay rehtay the. Hakeem sahib ki biwi is sorat-e-haal par hamesha shaaki rehtin. Un se lardte aur aksar un ki kitaaben utha kar ghar se bahar phenk detin ke kya faida tumhari is hikmat ka jo ghar ka cholha bhi nah jala sakay. Naik dil hakeem sahib jawaban biwi se ulajhney ke inhen sabr-o-shukar ki Talqeen karte. Achay dinon ki umeed dilatey jo aa kar hi nah day reh they.

Aik martaba hakeem sahib ke ghar kayi dinon taq chulha nah jala, un ke khandan par faqay guzarnay lagey aur un ki biwi ke taanay daraaz hotay gaye to hakeem sahib shadeed aarzu-daghi ki haalat mein gaon ki masjid mein ja kar baith gaye. Wahan unhon ny namaz-e-asha ada ki aur ghar janay ke bajaye wahein ruk gaye. namaz-e-tahajad ke waqt unhon ny uth kar wazu kiya. Namaz ada ki aur Allah ke huzoor sajda raiz ho kar ronay gir giranay lagey ke  "Bari Ellahi! meri aisi naqadri kyun horahee hai? mein aisi qader na-shinasi ka shikaar kyun hon …?"

Namaz Fajar tak hakeem sahib isi terhan Allah ke huzoor rotay rehe aur is se is ke fazal-o-karam ki bheek mangte rahay. Phir jab unhon ne sajda se sir uthaya to sajday ki jagah un ke aanso-on se bhiig chuki thi. Un ka dil be had mutmaen aur aik terhan ka Rohani sukoon mehsoos kar raha tha. Is douran mein dosray namazi bhi masjid mein aana shuru ho chukay thay. hHkeem sahib ne un ke sath namaz-e Fajar ada ki aur ghar aagaye.

Unhon ny socha thori der soo loon phir ja kar apna matab kholon ga. Lekin is waqt ghar ke darwazay par dastak hui. Unhon ny jaakar darwaaza khola to bahar aik sipahi ko kharray paaya. Is ny un se kaha ke un ka lashkar ka salaar shadeed pait dard mein mubtala hai woh chal kar usay dekh len. Hakeem Sahib samajh gaye ke salarr dar-haqeeqat dard qolanj mein mubtala tha. Unhon ny zurori dwayyan sath len aur sipahi ke hamrah lashkar gaah ponch gaye. Salaar apne khaimay mein bistar par para buri terhan se dard se tarap raha tha. Hakeem Sahib ny usay apni dawa istemaal karwai. Thori der mein is ki haalat sambhalna shuru hogayi. Yahan taq ke is ka dard jata raha aur woh bistar par uth kar baith gaya.

Is ne Hakeem Sahib ka shukriya ada karne aur un ki hikmat ko srahne ke sath inhen asharfiyon (GEMS) ki aik theli bhi di. Hakeem Sahib Allah ki is meharbani par mamnon-o-mashkoor masroor-o-Shadan apne ghar wapas aagaye. Unhon ne apne ahl-e-khana ko tamam qissa sunaya aur inhen asharfiyon (GEMS) ki theli dikhayi aur kaha ke inhen apna gaon chor kar kisi barray shehar chalay jana chahiye. Wahan woh apna matab khol len ge. Mumkin hai wahan un ki hikmat khoob chal nikal le. Un ki biwi ne un ki is tajweez ko pasand kya .

Chunancha yeh teh howa ke chand dino baad woh rakhat safar bandh kar kisi barray shehar rawana ho jaien. Lekin isi shaam lashkar ke salaar ki taraf se aik sipahi is ka pegham le kar poanch gaya ke Hakeem Sahib foran apna rakhat safar bandh len aur apne khandan ke sath lashkar ke hamrah dar-al-hakoomat Agra chalne ke liye tayyar ho jaien. Hakeem Sahib aur un ke ahl-e-khanah foran hi tayyar ho kar lashkar se ja miley aur is ke hamrah Agra rawana hogaye. Rastay bhar Hakeem Sahib salaar ki di hui asharfiyon (GEMS) se Agra mein apna matab qaim karne ke terhan terhan ke mansoobay sochte rahay. Unhon ney faisla kya ke Agra ja kar woh jis makaan mein rahaish ikhtiyar karen ge isi ke aik hissay mein apni dukaan hikmat khol len ge. Un ki yeh dukaan rafta rafta taraqqi karti jaye gi.

Lekin ab Rehmat khuda wandi poori terhan josh mein aa chuki thi. Hakeem Sahib ki Allah k huzoor sajda raizi aur giryaa-o-zaari ne Arsh Ellahi ko hila diya tha! Jounhi yeh lashkar Agra pouncha, inhen ittila mili ke Noor Jahan badshah begum shadeed arq Alnisa mein mubtala kayi dinon se hilnay julne chalne phirnay se mazoor bistar par pari hain. Shahi atba aur deegar hukma ki duwaein aur tadbeerye koi kaam nahi kar rahen. Yeh ittila paate hi nowarid lashkar ka salaar shenshah Jahangir ki khidmat mein haazir howa. Is ne usay hakeem Aleem Al-deen Ansari ke barey mein bataya. Un ke hathon apni Shifa yabi ka waqia sunaya aur un ki hikmat ki tareef karte hue un se badshah ki begum ke ilaaj ke sifarish ki. Jahangir pehlay hi apni mehboob malika ki alalat par be hadd pareshan aur har qisam ke ilaaj mualja ke liye tayyar tha. Foran raazi hogaya aur hakeem sahib ko bulawa kar inhen malika ke ilaaj ka hukum diya.

Hakeem Sahib neh malika ki fasad khulwai, fasid khoon nikala. Zurori adwiyaat waghera den, ghiza (Food) aur parhaiz bataya. Allah ki qudrat se chand dinon ke andar andar badshah ki begum mukammal sahet yab ho kar bistar se uth kar chalne phirnay lagen. Isi par Jahangir neh Hakeem Sahib ko nah sirf bhaari inamaat aur karamaat se nawaza balkay Wazir Khan ke laqab se Sarfraz karte hue inhen Shahi tabeb ka ohda bhi ataa kya. Phir inhen panj hazari mansab, aik shandaar mehal, nokar chaakar, hathi, ghoray bhi ataa kiye. Yun Hakeem Sahib ke haan doulat ki rail pail hogayi.

Un ki biwi jo pehlay har dam un ki nakaam hikmat par nalan, tang dasti par shikwah sanj rehti theen ab barri shaan ki zindagi guzaarnay lagen. Un ke bachay aish-o-aaraaam se rehne lagey. 

Lekin is kayaa palat ke bawajood Hakeem Sahib ke ijaz o inkisar, shukar guzari, taqwa aur deendari mein koi farq nah aaya. unhon ny apna daman hamesha amirana zindagi ki aaludagiyon se bacha kar rakha aur apne aap ko neki aur bhalai ke kamon ke liye waqf kar diya. Unhon ny be shumaar masajid, madrasay, saarein, sarkain aur pull taamer kurwaye. Bewaon aur yateem ke waazifa muqarrar kiye. Neki ke har kaam ke liye un ke haath hamesha khulay rahay.

Phir Jahangir ke baad Shah jahan takhat Agra par ronaq-e-afraz howa. Is naay bhi Hakeem Sahib ki be had qader afzai ki. Inhen haft hazari mansab aur jageer ataa ki. Ab Hakeem Sahib ki shaan-o-Shaukat mein aur bhi izafah hogaya. Itnay buland maqam aur doulat ki rail pail ke bawajood Hakeem Sahib Allah ke ahsaan ko kabhi na bhoolay. aur ba-dastoor neki aur bhalai ke kaam karte rahay. Is zamane mein unhon naay apne gaon ke qareeb Wazirabad shehar (city) abad kya aur masjid Wazir Khan jaisi shandaar aur par shikwah masjid taamer karwai. Woh aur bhi bohat se neki ke kaam karne ke khuwaishe dil mein liye hue they aur yaqeenan inhen kar daaltay ke Allah ke huzoor se un ka bulaava agaya...

Yeh hai aik sachey sajday ki kahani … 
Bani Isreal Ka Khoobsurat ko Pakk Nojawan


Bani Israel mein aik nojawan bohat khobsorat aur nihayat pak baz tha. Woh nojawan topian aur tokrian bana kar bichta tha. Aik din bazaar mein topian baichtay baichtay badshah ke mehal ki taraf nikal para. Mehal mein aik Haseen Shehzadi ki is par nazar pari to is ne apni Khadima ko bhaij kar is nojawan ko bulawa liya. Nojawan ne samjha ke shayad shehzadi sahibaa ne kuch khareedna hai woh Khadima ke sath mehal mein daakhil howa to Khadima darwaaza band kar ke bahar se chali gai aur shehzadi barhuna haalat mein samnay aagy aur boli ae Haseen nojawan mere qareeb aa aur meri khwahish poori karo.

Nojawan ne kaha ke ae shehzadi is rab se dar jo bara be niaz hai. shehzadi nah maani aur dhamki dainay lag pari ke agar to ne meri taskeen poori nah ki to mein badshah salamat ke paas shore machati isi haalat mein jyon gi aur kahoon gi ke is nojawan ne meri izzat zabardasti lotney ki koshish ki hai. Ab nojawan bara pareshan howa aur kuch soch kar bola acha mujhe nahanay ki ijazat di jaye taa ke mein saaf suthra ho jyo.
Shehzadi boli theek hai par yahan nahi nahana tum ne kyun ke tum bhaag jyo ge. Tum is Khadima ke sath chalees foot oopar mehal ki chhat par ja kar nahao. Nojawan maan gaya aur oopar chala gaya wahan ja kar jo is ne dekha ke ab kya karoon to is ke zehan mein is ke siwa koi aur hal nahi aaya ke chalees foot chhalang hi laga di jaye. Is ne chhalang lagatay waqt dua pari. “Ayy Allah pak mujhe teri nafarmani par majaboor kya ja raha hai aur mein is buraiee se bachna chahta hon. Mujhe chalees foot neechay chhalang maar kar mar jana to Manzoor hai lekin teri nafarmani nahi”.

Yeh keh kar nojawan ne chhalang maar di. Isi waqt aik Farishtay ko baari taala se hukum jari howa ke jyo is nojawan ko bachao. Farishtay ne is nojawan ko apne paron mein sama liya aur aaraam se neechay utaar liya. Nojawan bara khush howa aur isi waqt shukrane ke Nafil ada kiye aur bargaah Ellahi mein arz ki ke ” Maula to chahay to mujhe apne is kaam se be-niaz karwa sakta hai. ae Rab mujhe to kuch anayt kar taa ke mein aaraam se baith kar kha bhi sakun aur teri ibadat bhi kar saku”.

Uski darkhwast qubool howi aur wohi Farishta jis ne usko bachaaya aik sonay se bhari bori laa di. Azeem nojawan ne phir sajda shukar ada kya aur bola ae mere parvar-digaar yeh jo sona isi rizaq ka hissa hai jo mujhe duniya mein milna tha to is mein barket farma aur agar yeh is ajar ka hissa hai jo mujhe akhirat mein milna hai aur uski wajah se mere akhirat ke ajar mein kami hogi to mujhe yeh doulat nahi chahiye. Nojawan ko aik ghayebana aawaz aayi “Yee jo sona tujhe Ata kya gaya hai is sabr ka 70 hissa hai jo to ne is gunah se bachney ke liye kya”.

Is nojawan ne kaha ae mere maalik mujhe aisay khazanay ki haajat nahi jo aakhir mein mere ajar mein kami ka baais banay. Chunacha nojawan ne jab yeh baat kahi to sara sona isi waqt gayab hogaya.

bahawala kitaab : Uyoon Hakayaat