Tuesday 21 March 2017

Khuda k Kutte...



Baghdad par tataryon ki fatah aur mukammal qabzay ke baad, Hallaku Khan ki beti shehar (City) mein gasht kar rahi thi ke isi Isna mein is ki aik hajhoom par nazar pari. Poocha log yahan kyun ikathay hain? jawab aaya : aik aalam ke paas kharray hain. Hallaku Khan ne ki beti ne aalam ko apne samnay paish honay ka hukum diya. Aalam ko tatari shehzadi ke samnay laa haazir kya gaya.
Shehzadi musalman aalam se sawal karne lagi " kya tum log Allah par imaan nahi rakhtay''? Aalam :'' yaqeenan hum imaan rakhtay hain."

Shehzadi ny musalman aalam se dosra sawal kya, Kya tumhara imaan nahi ke Allah jisay chahay ghalib karta hai? aalam :'' yaqeenan hamara is par imaan hai''. Shehzadi ny phir sawal poocha ''kya Allah ny aaj hamein tum logon par ghalib nahi kardiya hai''? Aalam : yaqeenan kardiya hai.

Shehzadi : to kya yeh is baat ki Daleel nahi ke kkhuda hamein tum se ziyada chahta hai? Aalam : ''Nahi asa nahi hai''. Shehzadi : kaisay? Aalam :''tum ny kabhi charwahay ko dekha hai' '? shehzadi : ''haan dekha hai''. Aalam : ''kya is ke raywar ke peechay charwahay ny apne kuch kuttay bhi rakh chhorey hotay hain''? Shehzadi : ''haan rakhay hotay hain''. Aalam :''acha to agar kuch bhirhin (Sheeps) charwahay (Shepherd) ko chore ko kisi taraf ko nikal khari hon, aur charwahay ki sun-nay ko tayyar hi nah hon, to charwaha kya karta hai''? shehzadi : ''woh un ke peechay apne kuttay dorata hai taakay woh un ko wapas raywar le ayen''. Aalam : ''woh kuttay kab taq un bheiron ke peechay parre rehtay hain''? Shehzadi : ''jab taq woh faraar rahen aur charwahay ke Iqtidaar mein wapas nah ajayeen''. 

Aalam : ''to aap tatari log zameen mein hum musalmanoon ke haq mein khuda ke chhorey hue kuttay hain jab taq hum khuda ke Dar se bhage rahen ge aur is ki itaat par nahi ajayeen ge, tab taq khuda tumhe hamaray peechay doraye rakhay ga, tab tak hamara aman chain tum hum par haraam kiye rakho ge, haan jab hum khuda ke Dar par wapas ajayeen ge aas din tumhara kaam khatam hojaye ga


Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: