Ensaan jab khuda ki khudai ka qaail ho jata hai to phir laakh masaaib ayen woh apne mehboob ki mohabbat mein girftar ho kar sabhi masaaib ko nihayat hi khush usloobi se jheel jata hai, kyun ke un ka talluq khuda se hota hai, duniya ki museebatein un ka kuch nahi bigaar patin un ke paon Toheed par jamay rehtay hain. Sahaba ki tareekh se le kar aaj taq lakhoon waqiyat bikhare parre hain ke un ko duniya ki sitam ne un ke paon mein zara bhi laghzish peda nah honay di aur woh apne Toheed par datay rahay.
Ishhq Rasool (PPBUH) aur ishhq Khuda se sarshar aik no-muslim Do-sheeza ki rooh farsaa dastan jo bhopal shehar ke pandit aur matmul gharane se talluq rakhnay wali Alka Sharmaa (badla howa naam) ka hai. Raakim ne jab un se sawal kya ke aap kis terhan imaan laaye aur kin kin masaaib se do-char huien to unhon ne jo inkishaaf kya woh dil ko khoon ke ansoo rulane ke liye kaafi hai. Mulahiza Farmaen.
Mera naam Alka sharmaa hai mein aik pandit gharane se talluq rakhti hon mein ne BBA aur MBA 2nd year kya hai, mere khandan ke log bohat hi achay they, papa ka business tha woh sharaab ke thaika chillate they, aur mein Mahindra life Insurance mein ba-tor driver kaam karti thi. Hamari office mein kuch dost they jo muslim gharane se talluq rakhtay the. Hum log party disco waghera enjoy kiya karte the, kyun ke shehron mein larki aur larke aisay hi rehtay hain aur mein aik bohat barray business man ki beti thi to hamaray yahan yeh baat mayoob bhi nahi thi. 2013 ki baat hai jab is saal Ramadaan aaya aur mujhe is se pehlay pata nahi tha ke Ramadaan kya hota hai. Mein ne Ramadaan Al-mubarak mein aik party rakhi aur apne doston ko bhi bulaya, jis mein Samreen, Aisha, aur Zulfiqar , Imran Shoaib yeh tamam musalman dost nahi aye, aur mein ne dekha ke tamam larkiyan burqay mein anay lagi, aur larke topi laganay lagey to mein ne kaha kay tum log pagal ho ge ho kya? to un unhon ne bataya ke yeh hamaray Allah ka sab se pak maheena hai, is mein hum har woh kaam se doori ikhtiyar karte hain jo Allah Taala ne karne ko mana farmaya hai. Ab mujhe gussa agaya aur kaha tum kuch khao ge bhi nahi is mahinay mein hamaray sath to mein kya khaoun gi akailey? mein bhi roza rakhon gi.
Mein ne bhi teen rozz se roza rakhna shuru kar diya is waqt yahan barsaat ho rahee thi hum log sab sath mein roza rakhtay the, subah mujhe phone kar kay mere muslim dost utha dete, sehri karate shaam ko aftaari. Hum kabhi un ke ghar mein ya kabhi hotel mein aftaari karte. Mein Allah aur is ke Nabi (PBUH) ki baton ko sunti rehti, mein gaari bhi chala rahi hoti to kaan mein air-phone laga kar islami bayanaat se apne dil ko Munawar karti rehti. Isi waqat se Allah ne mujhe chunn liya mere ghar walon ko shak honay laga ke mein shalwar suit aur naqaab bandhnay lagi hon, mere phone ki rang tone bhi Allah ke naam ki nazam ho gayi thi. Aik din meri behan aur aur behnoi aeye mujhe le kar mandir gaye mein ne saaf mana kar diya andar jany se aur pooja karne se woh ghar aakar bohat daantey aur ghar mein hungama barpaa ho gaya, ammi abbu kehnay lagey ke yeh koi musalman larke se pyar to nahi kar bethi.. Mein apne ghar ki museebat banti ja rahi thi, sab log pareshan rehtay musalmanoon ki ghalat cheezon ko dikhata, musalmanoon se mutnafar karne ke liye an-tak waaadiyon ki clip batatay, pata nahi aur kya kya mujhe dikhata taakay mein islam se mutnafar ho jaon. Lekin mere dil mein to khuda ki mohabbat rach bas gayi thi, aik din mujhe Quran Pak dekhnay ki dil mein khuwahish peda hui, mein paas ki aik masjid mein gayi jahan mein ne kalaam pak manga aur usay baien taraf se dekhnay lagi, unhon ne kaha kay yeh kya kar rahi ho, yeh tareeqa sahi nahi hai. Isi waqt mein ne is dukandaar se apne dil ki baat sach sach bata di, is waqat unhon ne mujhe aik aapa jee ka number diya jo Quran parati thi, phir mein un ke wahan gayi aur is waqt mein apni car se gayi thi, abbu aur bhai mere peechay peechay they, lekin mujhe pata nahi tha.
Mein car se utarne lagi to mein ne car ki kanch mein dekha ke peechay abbu hain to mein ne baji ko door se ishara kar kay rokkk diya. Papa mujhe wahein maarna shuru kar iye aur mujhe le kar ghar aa gaye. Isi din mein ne yeh teh kar liya ke jab mein ne ghalat kya to kisi ne nahi roka aur aaj mein kuch acha karne ja rahi hon to sab rokkk kyun rahay hain? Mein ne khuda se apni mohabbat ka elaan kar hi diya. Ramadaan ke aakhri rozay ke din mein ne islam qubool kar liya. Abbu ne mera
mobile phone chean liya aur mujhe bohat kuch kaha mein ne bhi keh diya ke mein
is Allah se aur is ke Nabi (PBUH) se mohabbat karti hon, aap ko jo bhi karna
hai, tum karlo mein deen Hanif se phir nahi sakti phir mein ne Allah se dua ki
aur rotay rotay mein chhat par chali gayi, wahan mein dekhatii hon ke aasman
mein Kaaba Shareef mere samnay hai, aisa manzar tha ke mein lafzon mein bayan
nahi kar sakti, woh kya manzar tha aur aisay kayi deegar chamathkar honay lagey
maslan mein jo niyat karoon Allah usay poori kar dete, to mein ne aakhri baar
Allah se dua ki ke agar mein tujhy pa nahi sakti to tairay paas hi aana chahti
hon. Mein ne raat chaar bajey ke qareeb BISMILLAH parh kar Harpic tezaab pi
liya aur phir kya howa ambulance aayi aur mujhe paas ke hospital mein admit kya.
Abbu ne doctor ki bahar se team bulawa li ke mujhe kisi bhi
terhan kisi bhi haal mein bacha liya jaye, doctor bhi thora ghabra rahay they
mera case lainay se. Mere galay se pait tak poora andar se jal gaya, mere aant
ki aik pipe kharab ho gayi. 19 din taq ICU mein rahi aur phir bahar aayi mein Khuda
ki qudrat se bach gayi thi, is waqt bhi mein apne mun se sirf Allah Allah kehti
rahi aur abbu mujhe samajhate rahay unhon ne kayi tantrik ko le aeye aur ghar
mein pooja karwai mein hospital mein ICU se nikal kar private room mein aagai
thi wahan se mein apne latop mein net se search karti rahi phir mujhe mere
Facebook dost ne KHALOTI ke Abdul Qadeer bhai ka number diya, mein ne un se
rabita kya aur un se kaha kay mujhe aana hai, phir mein ne kaha kay mein yahan
se teen din mein discharge ho jaon gi unhon ne mere liye AC ticket book karwaya.
Main apne ghar mein bohat bura mehsoos karti thi, mujhe ghutan si mehsoos hoti
thi phir mein ghar se mukammal tor par nata tornay ka faisla kar liya aur wahan
se bhaag gayi aur mein ne Bhopal se AC coach mein baith gayi, aur mein Hazrat Nizaam-ul-deen
poanch gayi, wahan mujhe ShahNawaz aur Qadeer bhai lainay aaye woh mujhe le kar
Muzaffar nagar ke paas Khaloti gaon le gaye, wahan aakar mein ne un ke ghar
walon ko apne sath paish aeye waqiyat se betaye aur bohat jald jald islam
seekhnay lagi mein ne Quran pak english mein aur hindi mein parh liya, kaafi
aurtain mujhe deen sikhati theen mein din bhar wahan reh kar kitaaben pharti,
mein ne wahan bohat hi qaleel muddat mein bohat kuch seekh gayi. Phir Hazrat
molana Kaleem sahib Siddiqui ke baray mein mujhe btaya gya mein ne kaha kay yeh
kon hain mein un se milna chahti hon. Abdul Qadar bhai ne kaha kay un se milna
aasaan kaam nahi hai mein ne kaha kay theek hai Insha Allah mein kehti hon ke
mein un ke paas nahi balkay woh khud mere paas ayen ge. Sabhi ne mera mazaq
uraya par Allah mere dil ka haal jaanta tha phir Abdul Qadar bhai ne mujhe aik
kamrah diya, mein wahan 2 mahinay rahi aur mein ne Hazrat Bilal ka qissa sun
rakha tha ke un se koi shadi nahi karta hai to Allah ke mehboob kehte hain Hazrat
Bilal Janati hai. Jab mera rishta aaya to mein ne nikah ke liye bana dekhe hi
haan kar di thi aur kaha ke Qadeer bhai aap jo bhi karen ge acha hi karen ge,
phir Hazrat Molana Kaleem sahib Siddiqui Abdul Rahman ( dhaan singh ) ka rishta
le kar mujh se khud milnay Khaloti aye. aur mera nikah jummay ke din asar ke
waqt (13-12-13) ko howa. Hazrat ne hi nikah parhaya, phir mujhe rukhsat kiya
gaya. Mujhe maa baap se door honay par itnay ansoo kabhi nahi aeye jitna ansoo
Qadeer bhai aur babhi se doorr honay par arhay the. Abdul Rahman se mera nikah
hue 3 mah bhi nahi hue the ke un ke dil mein paison ki lalach aayi inhen yeh
ilm ho gaya tha ke mein aik maldaar aur sahib sarwat gharane se talluq rakhti
hon, lehaza woh mujhe harasan karne lagey aur mein inhen le kar apne aabadi
watan bhopal aa gai. Wahan mere abbu ne mujhe qubool kar liya aur unhon ne kaha
jahan to khush hai hum bhi wahan khush hain. Mein ne deen ki dawat apne ghar ke
fard ko daina shuru kar di, lekin unhon ne islam qubool nahi kya. Lekin mujh se
mohabbat karte they lehaza mere abbu ne kaha ke woh mujhe aik laakh rupiye aur
kuch zyorat aur ghar basanay ke liye paisa den ge, hum bhopal mein hi they ke
Abdul Rahman ne mere papa ke phone se apne kisi dost se baat ki, abbu ke phone
par cal record ho gaya jis mein un ka dost puchta hai ke bhai kya kya mila? to
Abdul Rahman ne kaha kay bhai abhi to aik sonay ki chain aur das hazaar rupiye
hi miley hain, wapsi ke waqt baqi rupiya aur samaan bhi den ge papa ne yeh
rerecording sun li aur hamein abbu ne kuch nahi diya. Hum Indore se Dehli anay
lagey, Abdul Rahman mujhe apni behan ke ghar le gaya is ka rawayya train mein
hi badal gaya tha par mein samajh nahi payi aur phir usne aik naya drama shuru
kar diya. Woh bhi no muslim hi tha sirf Hazrat ke paison ke liye imaan laaye
hue hai. Yeh meri taqdeer thi ke Abdul Rahman ne mujhe kuch waqt Khaloti mein
rakha aur mere papa se 2 laakh rupiya mangnay laga, mein ne kaha kay woh haraam
ki kamaai hai mein nahi lena chahti, is ne kaha kay theek hai to kuch din ke
liye Indore chali ja, mein jab taq Khaloti se baldana samaan transfer kar lon
ga, jab tujhy bulaon ga mein Indore pohanchi hi thi ke unhon ne phone par mujhe
allag honay ki baat kar di, Mein bohat roi pagalon ki terhan aanan faanan Dehli
poanch gayi, jahan hamara ghar tha mein wahan gayi to makaan khaali tha woh
wahan se gayab ho chuka tha ,mein palat Hazrat ke paas rotay hue pohanchi to Hazrat
ne usay bulaya is ne mujh par ilzaam lagaya ke mujhe deen ki taleem nahi hai,
mein usay nahi rakhon ga jab taq yeh madrasay mein parh kar nah aajay, phir
mujhe Meerth ke madrasay bejha geya, mein wahan do mahinay rahi dil-o-jan se
parhai ki phir mujhe woh lainay aeye, mujhe is ne kerana ke islam nagar ki Aisha
masjid ke paas le gaya, woh aisi jagah thi jahan 24 ghanton mein sirf do
ghantay hi light aati thi. Bunyadi sahulaton ka fuqdaan tha, mein ne wahan bhi
guzaraa kar liya, is ne phir bhi mujhe pareshan karna nahi chorra, mujhe maarna
peetna shuru kar diya tha, mein bhi khushi se inhen aik danda diya aur jharu ke
lau yeh maro. .. Mujhe islam laane ki saza do. ..
Is ne mujhe bohat mara aur taish mein aakar mujhe Talaq day
di, mein pagal ho gayi ro ro kar mera bura haal ho gaya tha is ne mujhe aik hi
Talaq di thi phir mein Jaipur Abdul-aziz bhai ke yahan chali gayi aur mein un
ke sath Hazrat se mili aur Hazrat ne hamara nikah dobarah kara diya aur court
se paper bhi banava diya, phir is ne mujhe INDORE bejhwa dya aur kaha ke mein
yahan makaan dekh lon, jab taq to wahein rehna meri maa aur behan tujhy lainay
ayen ge, phir woh aeye aur mujhe un ke aabai gaon le gaye aur mere liye saari
laaye aur hindu tareeqay se le gaye. Abdul Rahman ne mujhe kaha kay jab taq
ghar ka intizam nahi hota tujhy mere ghar hi rehna hoga, wahan mujh se har woh
islam mukhalif amar karwaya gaya jisay mein nahi karna chahti thi, lekin majaboori,
tashadud ke dar se mujhe karna para. Is ne mujhe yahan taq dhamki di ke agar to
kisi ko kuch bataya ke Khaloti, Jaipur mein reh chuki hon to mujhe majaburan
Talaq dena parre ga. Mein ne dar se kisi ko kuch nahi bataya. Yahan se jatay
waqat is ne mere papa se bohat saari cheezon ka mutalba kya tha, Iss mein LED
TV bhi thi aur bhi bohat saaray saaz-o-saman they, jo papa ne usay diye. Woh
mujhe le gaye saat din baad mere papa ko heart attack aaya. Heart attack bhi
meri hi wajah se aaya tha kyun ke panchwin din mujhe meri saas aur mere shohar
ne bohat mara, mein wahan nahi rehna chahti thi wahan sab hindu tareeqay se reh
rahay they, nah namaz parhte they aur nah hi koi islami kaam hota tha mujhe
wahan woh log hindu bana kar rakhay hue they. Is liye is ki maa aur is ke behan
ne mere papa ko phone kar kay kaha ke mein ab bhi un logon se baat karti hon
jin ko hum chor kar aaye hue hain, is baat pay mein ne apne abbu ko phone kya,
k papa yeh log mujhe maartay hain, itni thand mein bisu ke danday se itna
maartay hain ke mein behosh ho jati hon mujhe bachanay wala koi nahi rehta. Kyo
ke papa mujh se bohat hi mohabbat karte they unhon ne yeh sab suna to inhen
heart attack agaya, aur un ke bachney ka 50% hi chance tha mein ne apne abbu ke
yahan anay ke liye tayyar ho gayi, kyun ke log tana dete ke lainay ke waqt
aagai thi lekin jab baap marnay laga to nahi aayi. Lekin un zaalmon ne mujhe
jany nahi diya do din ho gaye they papa ko bemaar hue mujhe bohat maartay they.
Mein ne un logon se kaha kay waisay bhi yahan na meri namaz hoti hai aur nah hi
mein Quran parh paati hon, mujhe jany do is waqt is ne mujhe mun se teen Talaq
day di. Aur main ghar anay ke liye tayyar ho gayi, abbu ka by paas surgery hona
tha mein station ke liye nikal chuki thi, train thand ki wajah se 15 ghantay
late thi. Abdul Rahman Talaq dainay ke baad mujhe chorney aeye, hum Nizaam-ul-deen
station ke qareeb aik hotel mein they, woh Abdul Rahman wahan bohat roya aur
pchhtate hue kaha ke mein ne tujhy dil se Talaq nahi diya hai to ab bhi mere
sath reh le mein ne inkaar kar diya kyun ke hamara court se Talak nama ban
chuka tha. Abrar bhai ki mojoodgi mein phir Abdul Rahman kehnay laga ke mein
kya karoon ga Hazrat ne pesey wapas mangay hain, Mein kahan se dun ga. Is ne
kaha ke to mujhe yeh pesey day day mein tujhy February 2015 ko mein aake day
dun gam mein ne usay 40,000 rupiye day diye aur woh chala gaya aur aisa gayab howa
hai ke ab taq is ka koi pata nahi nahim is ka phone lag raha hai aur na hi koi
khabar? Ab mujhe maloom para hai ke Hazrat ne usay Karnatk jamaat mein bhaij
diya hai?
Abdul Rahman jo ke no-muslim hai jis se meri shadi Hazrat ne
karai thi, woh Hazrat ko dhoka mein rakhay howa hai, Hazrat ke samnay is ke maa
baap paison ke lalach mein Islam ka natak karte hain aur apne aabai watan mein
hindu hi rehtay hain. Bakol Alka sharmaa ( badla howa naam ) is larke ka poora
khandan hindu hai aur hindu ke beech mein hi woh log reh rahay hain, Hazrat ne
usay 2 laakh rupiye diye they dukaan karne ke liye jisay is ne is raqam ko property
ke kaam mein laga diya hai aur aik bhens jo 75 hazaar mein liya usay apne bhai
ko day di, jis ka naam Sher Singh hai, is ke Walid ka naam Ram Mohar Singh Azad
Nagar Alaam gaon thaana Kadala hai, is ne Hazrat ke diye hue paison se ghar
mein bhens rakhi aur is ke ghar mein Shamar Siyol karwaya, jab ke woh hindu
khandan ka bhala kar raha hai. mera tamam saz-o-samaan aur Hazrat ne 25 hazaar
rupiye diye they sabhi ko is ne rakh liya mujhe kuch nahi diya gaya, kya mera
koi haq nahi hai aur mere ghar se jo jo le kar aeye woh bhi nahi diya, bhai is
ke khandan mein yeh 7 log hain Abdul Rahman urf Dhaan singh ( jo mera shohar
tha ) Walid Ram Mohar Singh hai maa ka naam Veramati pawar hai, bhai Sher Singh
behan Komant hai aur un ke baap ka murder ho chuka hai jo ke un ke chacha ne
karaya tha, un ke pita jee ne aik dakait ka sath diya tha jo k masoom logon ka
murder kiye howa tha, is ke sab se barray bhai jis ka naam gulu tha is ka
murder ho chuka hai, is ke behnoi ka is ki choti behan se affair chal raha tha,
unhon ne apni saali ko panay ke liye apni biwi ko maar diya aur is Abdul Rahman
se choti behan jo ke 8, 9 saal ki thi is ko is ke bhai ne danday se itna mara
ke is ka pait phatt gaya jis se is ki mout waqay hogi. Is larki ka kehna hai ke
yeh poora khandan crime mind hai aur Hazrat aisay logon ki un-jany mein
sarparasti kar rahay hain. Agar Hazrat apne ghar mein kisi ko rakhtay hain to
un ko iss ka sab kuch woh jaan lain ke woh kon hai kahan se aaya hai kya karta
hai. Abdul Rahman urf Dhaan singh shatirana zehan ka maalik hai ke woh aaage
kisi doosri larki ko bhi dhoonday ga aur is ka istehsal kere ga, is ne to mujhe
yahan taq kaha tha ke Hazrat ne tujhy mujh e beech diya hai. Mein ne aaj taq
woh baat Hazrat ko nahi batayi. Woh aisa ensaan hai jo kamaana nahi chahta aur
kabhi kama bhi nahi sakta woh mujhe kehta tha ke mein tairay jaisi ke liye mein
mazdoori karoon ga. Usay madrasay ki rootti chahiye bas baithy baithy, warna 2
laakh 25 hazaar mein koi bhi dukaan le kar apna guzaraa kar leta aur mein bhi
is ke sath badter se badter din guzaray hain, woh kehta tha ke koi muslim larki
se shadi karta to mere sath is ka ghar pariwaar hota, chalo mera to is waqt
teen mahinay ka imaan tha woh to saat saal se muslim muslim honay ka natak kar
raha hai aur Hazrat abbu jee ko dhokay mein rakhay howa hai.
0 comments: