Saturday, 18 March 2017

Cat Fish ne Darya ke Kinare Anay Walay choohon ka Shikaar Karna Shuru Kar Diya Hai.....



Australian mahireen maholiyaat ny daryaft kiya hai ke maghribi Australia ke daryaaon mein payi jaaney wali Cat Fish ny darya ke kinare anay walay choohon ka shikaar karna shuru kar diya hai lekin is ki wajah maloom nahi ho saki hai.

Cate fish ke choohon par hamla karne ki khabron par unhon ny maghribi Australia ke darya Aish-Barton se chhoti jasamat wali 18 Cat-fish pakren aur un ki ghiza ka jaiza liya. Maloom howa ke un mein se 44% ke pait mein dareaye Aish Barton ke kinare paye jaaney walay choohon ki baqyat mojood theen. Albata yeh wazeh nahi ho paya hai ke woh darya mein payi jaaney wali doosri chhoti machhliyon ko chore kar choohon par kyun hamlay kar rahi hain.

Kuch machhliyan aisi bhi theen jinhon ny aik hi waqt mein 2 ya 3 choohay tak khaye hue they aur un ki ghiza ka 95% hissa shikaar kiye gaye choohon par mushtamil tha .

Is se pehlay Europe mein payi jaaney wali Cat fish ke baare mein pata chala tha ke woh pani ke qareeb anay walay kabutaro ko shikaar karne lagi hain, lekin australian Cat fish un ke muqablay mein bhi ziyada khatarnaak aur khonkhawar saabit ho rahee hain.

Choohon ka shikaar karne wali Cat fish ki jasamat bhi batadreej barh rahi hai kyun kay CAT fish ki ost lambai 50 cm hoti hai jab ke chooha Khor cat fish ki lambai 75 cm taq poanch chuki ha..
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: