Sunday, 19 March 2017

Maqam-e-Ibrahim





Khana Jaaba se taqreeban 13.25 meter mashriq ki janib maqam-e-ibrahim qaim hai. Yeh woh pathar hai jo Bait Allah ki taamer ke waqt hazrat Ibrahim (A.S) neh apne qad se unche deewar qaim karne ke liye istemaal kya tha taa kay woh is par ounchay ho kar deewar taamer karen.

1967 usay pehlay is maqam par aik kamrah tha magar ab sonay ki aik jaali mein band hai. Is maqam ko musalley ka darjah haasil hai aur Imam Kaaba isi ki taraf se kaaba ki taraf rukh kar kay namaz parhatay hain. Tawaaf ke baad yahan do rakat Nawafil parhnay ka hukum hai.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: