Sunday 19 March 2017

Legend Adakar Mohammad Ali ko Madahon se Bichhre 11 Baras Beeet Gaye




Pakistan Film Industry par kayi dahaiyo taq raaj karne walay adakar Mohammad Ali ko madahon se bichhre 11 baras beeet gaye . Pakistan ke Maroof Adakar Mohammad Ali April 1931 ko hindostan ke shehar RAMPUR mein peda hue lekin qiyam Pakistan ke baad unhon ny apne khandan ke hamrah hijrat kar ke hyderabad mein sukoonat ikhtiyar ki, jab ke adakar ka talluq mazhabi gharane se tha aur in ke waalid Syed Murshid Ali Imam Masjid the aur yahi wajah hai ke ghar walay filmi duniya mein qadam rakhnay par shadeed mukhalif the.

Khandan ki mukhalfat ke bawajood Mohammad Ali ny filmi safar ka aaghaz kya aur Radio Pakistan se munsalik ho gaye lekin jald hi un ki mashooor kun aawaz ny inhen filmi duniya taq pohanchanay mein ahem kirdaar ada kya aur unhon ny 1962 mein fِilm "Chairag Jalta Raha" se bator vilan filmi carrier ka aaghaz kya taham bator hero un ki pehli Maroof film "Kaneez" thi, jis par inhen behtareen adakar ka nigaar award se nawaza gaya.

Legendary adakar ko 1966 mein release honay wali film ''Aag ka Darya'' ny shohrat ki bulandiyon par pouncha diya jis ke baad unhon ny peechay murr kar nahi dekha aur woh urooj haasil kya jo bohat kam adakar apni zindagi mein dekh sakay hain. Mohammad Ali ki Shehra Afaq films mein "Saiqa , Wehshi, Aas, Aaina aur Soorat, Ensaan aur Aadmi sameit Haider Ali shaamil hain, jab ke apni jandaar aur romanvi adakari ki badolat inhen shenshah jazbaat ka khitaab bhi diya gaya aur majmoi tor par bator adakar 450 se zayed urdu, punjabi, pashto, hindi aur bangali films mein kaam kya.
Mohammad Ali kayi filmi aur International awards apne naam kar chukay hain aur hukoomat Pakistan ny fani khidmaat ke aitraaf mein unhon ny tajma imtiaz aur 1984 mein tajma hussn karkardagi ka aizaz bhi haasil kya. Legendary adakar 19 March 2006 ko gurdon ke aarzay ke baais Lahore mein intqaal kar gaye lekin aaj bhi lakhoon madah un ki adakari ke deewany hain....
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: