Kuch films aisi hoti hain jo kisi ke bhi dil ko chhoo leti hain chahay un ki Umar ya Jins kuch bhi ho.
Yeh film dekhnay walon par taweel-al-mayaad asraat muratab karti hain, zindagi ke baray mein tasawwur badal deti hain aur aap ko aik acha ensaan ban'nay par uksaati hain. Agar aap is haftay koi aisi hi achi film dekh kar chhutti ka din Khushgawar banana chahtay hain to is silsilay mein hum aap ki madad karne ki koshish kar saktay hain .
2001 mein release honay wali film "A Beautiful Mind" aap ke is din ko acha zaroor bana sakti hai. Dar haqeeqat yeh film aap ko mutasir karne ke sath kisi maqsad ya zindagi mein agay bherne ke liye pur-azam bhi banaye gi aur hum itna zaroor keh satke hain ke is ka ta-assur ta-dar zehan se utar nahi paye ga. Maroof Rayazi daan Jhon Forbus junior ki haqeeqi kahani par mushtamil is film ko Rhon Howard ne direct kya jab kay Rasal karon ne markazi kirdaar intahi khoubsurti se ada kya.
PLOT
Is film mein markazi kirdaar aik intahi tang mizaaj professor ka tha jo rayazi ka genius hota hai aur apne career ke aaghaz mein woh aik bohat barri daryaft karta hai jo usay aalmi satah par maqam dilaata hai. Magar phir yeh tang mizaaj professor khud ko apni zaat ki daryaft ke takleef de aur dil kharaash safar karte hue paata hai, jis ke nateejay mein woh dimaghi marz Shez-o Farniya ka shikaar ho jata hai. Mutadid barson taq Jad-o-jehad kar kay woh apne almiye par fatah paa leta hai aur aakhir kaar Noble inaam jeetnay mein kamyaab ho jata hai. Zindagi ka yeh safar aur Jad-o-jehad aap ko mashooor aur pur-azam bananay ke liye kaafi hai.
"A Beautiful Mind" ko behtareen film, director, adakara aur screen play ke Oscar awards se bhi nawaza gaya tha jab kay Rasal karon ko behtareen adakar ki category mein naamzad kya gaya magar woh jeetnay mein nakaam rahay.
0 comments: