Friday 17 March 2017

Jahaaz Mein Air-Hostess Peechay Haath Kyun Kar Kay Khari Hoti Hain




Kabhi aap ne socha ke jahaaz mein daakhil hotay hue samnay khari Air-Hostess peechay haath kyun kar kay khari hoti hai. Jin logon ne jahaaz ka safar kya hai woh is baat ko jantay hain ke jab bhi woh jahaaz mein sawaar hon to samnay muskuratay chehray ke sath peechay haath bandhay khobsorat si Air Hostess khari hoti hai. Magar kabhi kisi ne is baat par غوتر nahi kya ke woh ‫se kyun khari hoti hai 



Bhalein hum bata dete hain darasal Air-Hostess peechay haath rakh kar is liye khari hoti hai taakay woh tamam musafiron ki ginti poori kar sakay .
Air Hostess ke haath mein musafiron ki ginti karne ke digital aala hota hai jo har musafir ke dakh-lay (Entry) par count karti hai. Jitne musafir woh ginti hai isi ke hisaab se amlay ko musafiron ki jari ki gayi list ke mutabiq dekha jata hai.

Agar koi shaks kam hoto is ke liye boarding area mein announcment ki jati hai.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: