Thursday, 16 March 2017

Ghora Insani Jazbaat ko Samajhney Ki Salahiyat Rakhta Hai




Ghora aik wafadar janwar hai aur kisi zamane mein jang mein Sheh Sawaar isi par charh kar lara karte they jab ke Ghora apni raftaar mein bhi kisi se kam nahi, lekin aik tahaqeeq ne ghoray ki aik aur khoobi se parda uthatay hue kaha hai ke ghoron mein yeh salahiyat hoti hai ke woh ensaan ke khushi aur gham ke tasurat ke darmain farq kar sakta hai.


Bartanvi university ke scienctest ne ghoray par aik tahaqeeq mein kaha hai ke ghoray insani jazbaat ko samajh letay hain jis ke liye unhon ne insani cheharon ki tasaveer ka istemaal kya aur yeh baat samnay aayi ke paltu ghore ne ghusse walay tasurat ko dekh kar narazgi ka izhaar kya. Un ka kehna hai ke un ghoron ko paalne ki wajah se unn ka insani rawaiyon ko apnane aur samajhney ka amal fa-aal ho jata hai.

Bartania ke science journal biology letters mein shaya honay wali tahaqeeq mein kaha gaya hai ke is ke liye tehqeeqi team apne test ke namoonay astabal mein le kar gayi aur total 28 ghoron ko yeh barri tasaveer deikhein jab ke is douran 1 shakhs ne ghoron ko thaamay rakha. Tahaqeeq-kar ke mutabiq is amal se ahem nateeja yeh nikla ke unhon ne unn tasaveer ko apni baien aankhh yani ghusse walay tasurat se dekha kyun ke mamaliya (doodh pilanay walay janwar) ke dimagh ke taar yeh maloomat zakheera karte hain aur dimagh ki dayin janib se yeh maloomat le kar baien aankhh uss par amal karti hai .

Scienctest ka kehna tha ke dimagh ki dayen janib ka nisf hissa manfi muharikaat peda karne mein mahaarat rakhta hai taham yeh sirf tawanai ki taqseem ke mutaliq hai is mein poora dimagh istemaal nahi hota hai. Is tahaqeeq ke douran mohqiqeen ne ghoron ko dil ki sharah napnay walay moniters se bhi munsalik kya jis se is baat ka inkishaaf howa ke ghusse walay cheharon ko dekhnay ki wajah se ghoron ke dil ki raftaar mein numaya izafah howa .
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: