Tuesday, 21 March 2017

Quran ki Rehnumai....

Is se barri Nemat hum pedaishi musalmanoon ke liye shayed hi koi ho ke Allah taala ne hamein musalmanoon ke ghar peda kya aur hamein deen islam ki khoj nahi karna pari. Bohat se log jo Islam ko tehqeeq-o-tajzia ke baad apnatay hain woh hum musalmanoon se aala kirdaar ke haamil ho jatay hain. Jin logon par khuda ka fazal howa aur unhon ne Islam qubool kya un ke qubool Islam ke herat angaiz wakiyat hain. Qubool Islam ka yeh waqiya herat angaiz bhi hai aur sabaq amooz bhi.

Herat angaiz is aitbaar se ke Nuzool-e-Quran ko kam o besh daidh hazaar saal ka arsa guzar janey ke baad bhi aaj tak is nuktay par kisi ki nazar nah jaski jo aik American doctor ke qubool Islam ka muharrak bani aur sabaq amooz is pehlu se hai ke kitaab Ellahi mein ghor aur tahaqeeq justojoo bandgaan-e-khuda ke liye hadaayat o Magfirat ke darwazay kholnay aur Sarat-e-mustaqeem par gamzan honay ka aaj bhi itna hi muasar zareya hai jitna woh nuzool wahi ke waqt tha. America ke aik hospital mein aik ajeeb o ghareeb waqiya paish aaya aur is waqeye ke zirasr American doctor musalman hogaya. Hospital mein aik roz delivery ke doo case aik sath aye. Aik aurat se larka peda howar, doosri se larki' jis raat un dono bachon ki wiladat hui ittafaq se nigran doctor mauqa par mojood nahi tha' dono bachon ki kalayi mein woh patti bhi nahi baandhi hui thi jis par bachay ki maa ka naam darj hota hai to nateeja yeh howa ke dono bachay galat malat hogaye aur doctoron ke liye yeh shanakht karna mushkil hogaya ke kis aurat ka kon sa bacha hai halaank un mein se aik larki thi aur dosra larka...

Wiladat ki nigrani karney wale doctoron ki team mein aik musalman Misri (Egyptain) doctor tha jis ko apne fun (Skills) mein barri mahaarat haasil thi aur american doctoron se is ki barri achi dosti thi aur apne staff ke aik American doctor se gehri dosti thi. Dono doctors sakht pareshan they ke is mushkil ka hal kaisay nikala jaye? American ghair muslim doctor ny Misri doctor se kaha ke tum to daawa karte ho ke quran har cheez ki tashreeh karta hai aur is mein har terhan ke masail ka ehata kya gaya hai to ab tum hi batao ke un mein se kon sa bacha kis aurat ka hai ?

Misri doctor ne kaha ke haan quran hakeem be shak har mamlay mein rahnumai hai aur mein usay aap ko saabit karkay dukhao ga. Magar mujhe zara mauqa dijiye ke mein khud pehlay is mamlay mein etminan haasil karloon. Chunancha Misri doctor neh baqaida is maqsad ke liye misar ka safar kya aur Jam-e-Azher ke baaz shyokh se is maslay mein istafsaar kya aur American dost doctor ke sath ki gayi baat cheet ki rudaad bhi paish ki. Azhri Aalam ne jawab diya ke mujhe tibbi mamlaat-o-masail mein idraak haasil nahi hai. Albata mein quran ki aik aayat parhta hon. Aap is par gor-o-fikar karen. Allah taala neh chaha to aap ko is maslay ka hal is mein mil jaye ga. Chunancha is Aalam neh darj zail aayat parh kar sunai. '' tarjuma : Mard ka hissa do aurton ke barabar hai.'' ( Al-Nissa 11 ) Misri doctorr neh is aayat mein ghor shuru kar diya aur geherai mein jaany par usay is mushkil ka hal bil akhir mil hi gaya. Chunancha woh lout kar America aaya aur apne dost doctor ko aetmaad bharay lehjey mein bataya ke quran neh saabit kardiya hai ke un dono mein se kon sa bacha kis maa ka hai. American doctor ne barri herat se poocha ke yeh kis terhan mumkin hai ?

Misri doctor ney kaha ke hamein un dono aurton ka doodh test karne ka mauqa dijiye to is mamlay ka hal maloom hojaye ga. Chunancha tjzyie-o-tahaqeek ke nateejay mein maloom hogaya ke kon sa bacha kis aurat ka hai aur Misri doctor ney apne ghair muslim dost doctor ko is nateejay se poooray aetmaad ke sath aagah kar diya. Doctor heran-o-shashdar tha ke aakhir yeh kaisay maloom hogaya? Misri doctor ney bataya ke is tahaqeek-o-tjzyie ke nateejay mein jo baat samnay aayi hai woh yeh thi ke larke ki maa mein larki ki maa ke muqablay mein dugna doodh paaya gaya mazeed larke ki maa ke doodh mein namkiyat aur vitamins ki miqdaar bhi larki ki maa ke muqablay mein dogni theen.

Phir Misri doctor ney American doctor ke samnay quran kareem ki woh mutaliqa aayat talawat ki ( mard ka hissa do aurton ke barabar hai ) jis ke zariye is ney is mushkil ka hal talaash kya aur jis aqde ko hal karne mein dono doctor nihayat pareshan they. Chunancha woh American doctor foran imaan le aaya. Chunancha aisa hi aik waqea Hazrat Ali (R.A) ke zamane mein bhi paish aaya tha 1400 saal pehlay Islam ney is terhan ke paicheeda masail ko lamhoon mein kis terhan hal kya tha.

Is maqsad ke liye woh waqea yahan paish kya ja raha hai

Aap (R.A) ke zamana khilafat mein do aurton ki aik jagah aur aik hi raat mein zichgi hui. Aik larka aur doosri larki thi' larki wali ne apni larki ko larke wali ke jhulay mein daal kar larke ko le liya. Larke wali ne kaha ke larka mera hai yeh muqadma Aap (R.A) ke paas aaya. App (R.A) ne hukum diya dono ke doodh wazan kiye jayen jis ka doodh wazni hoga larka is ka hoga...
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: