Is
choti si goli ko kha kar aap apne jism mein kya kuch mukammal control
kar saktay hain? Janye sadi ki sab se herat angaiz ijaad ke baray mein.
Apni
sahet ke mutaliq jan-nay ke liye doctor ke paas jana parta hai aur kayi
test karwa kar un ke nataij ka intzaar karna parta hai lekin ab science
danon ne aik aisi device ijaad kar li hai jo lamha bah lamha aap ko aap
ki sahet ke mutaliq aagah karti rahay gi.
Mail
online ki report ke mutabiq yeh device aik goli ki shakal ki hai jisay
silver bullet ka naam diya gaya hai. Usay nigal kar maiday mein pohancha
diya jaye ga jahan yeh maiday mein mojood tezaab se tawanai haasil
karkay chalti rahay gi aur aadmi ke andar reh kar is ki sahet ki nigrani
karkay nataij mobile phone ki screen par dukhati rahay gi.
Report
ke mutabiq yeh device Mesachosist Institute of Technology ke scientest
ne ijaad ki hai. tahaqeeq kar doctor Philip ka kehna hai ke "Sliver
Bullet ensaan ke andar se hi tawanai haasil karkay kayi haftay taq kaam
karne ki salahiyat rakhti hai. Yeh goli maiday mein reh kar sahet ke
mutaliq maloomat ikathi karkay mobile phone ko muntaqil karti rahay gi."
Yeh ijaad Bostan mein honay wali duniya ki sab se barri science
conference mein muta-arif karwai gayi hai.
Report
ke mutabiq silver bullet mein sensor lagey hue hain jo musalsal jism ke
daraja hararat aur dil ki dharkan ki nigrani karte rehtay hain. 30 mili
meter lambi is device ke tajarbaat khanzeer par kiye gaye. Usay
khanzeer ke nizaam inhizam se guzarnay mein 6 din lagey. Scientist neh
insanon ke istemaal ke liye is ka chhota version bhi bana liya hai jis
ki lambai sirf 10 mili meter hai.
0 comments: