Wazirabad aur
Masjid Wazeer Khan ka naam kisi Pakistani ke liye ajnabi nahi. Lekin is
shehar (city) aur masjid ko basanay aur bananay walay Nawab Wazeer Khan
ke halaat se shayad bohat kam log aagah hon ge.
Nawab
Wazeer Khan ka asal naam Aleem Al-deen Ansari tha. Woh Punjab ke aik
mamooli se gaon mein jo Wazirabad ke qareeb hi waqia tha. Aik mamooli
darja ke hakeem thay. Is gaon mein aur bhi hakeem mojood thay jin ki
hikmat hakeem sahib ke muqablay mein khoob chalti thi. Is liye woh khoob
khushaal thay.
Hakeem
Aleem Al-deen be-had mut-taqi, Qanaat pasand, Allah tawakkal walay
Sabir-o-Shakir aadmi they. Jo kabhi apni musarrat aur tang dasti aur
apni naqadri par jaltay nahi they. Balkay usay maula ki marzi samajte
hue har dam Allah ke shukar guzaar banay rehtay the. Hakeem sahib ki
biwi is sorat-e-haal par hamesha shaaki rehtin. Un se lardte aur aksar
un ki kitaaben utha kar ghar se bahar phenk detin ke kya faida tumhari
is hikmat ka jo ghar ka cholha bhi nah jala sakay. Naik dil hakeem sahib
jawaban biwi se ulajhney ke inhen sabr-o-shukar ki Talqeen karte. Achay
dinon ki umeed dilatey jo aa kar hi nah day reh they.
Aik
martaba hakeem sahib ke ghar kayi dinon taq chulha nah jala, un ke
khandan par faqay guzarnay lagey aur un ki biwi ke taanay daraaz hotay
gaye to hakeem sahib shadeed aarzu-daghi ki haalat mein gaon ki masjid
mein ja kar baith gaye. Wahan unhon ny namaz-e-asha ada ki aur ghar
janay ke bajaye wahein ruk gaye. namaz-e-tahajad ke waqt unhon ny uth
kar wazu kiya. Namaz ada ki aur Allah ke huzoor sajda raiz ho kar ronay
gir giranay lagey ke "Bari Ellahi! meri aisi naqadri kyun horahee hai?
mein aisi qader na-shinasi ka shikaar kyun hon …?"
Namaz
Fajar tak hakeem sahib isi terhan Allah ke huzoor rotay rehe aur is se
is ke fazal-o-karam ki bheek mangte rahay. Phir jab unhon ne sajda se
sir uthaya to sajday ki jagah un ke aanso-on se bhiig chuki thi. Un ka
dil be had mutmaen aur aik terhan ka Rohani sukoon mehsoos kar raha tha.
Is douran mein dosray namazi bhi masjid mein aana shuru ho chukay thay.
hHkeem sahib ne un ke sath namaz-e Fajar ada ki aur ghar aagaye.
Unhon
ny socha thori der soo loon phir ja kar apna matab kholon ga. Lekin is
waqt ghar ke darwazay par dastak hui. Unhon ny jaakar darwaaza khola to
bahar aik sipahi ko kharray paaya. Is ny un se kaha ke un ka lashkar ka
salaar shadeed pait dard mein mubtala hai woh chal kar usay dekh len.
Hakeem Sahib samajh gaye ke salarr dar-haqeeqat dard qolanj mein mubtala
tha. Unhon ny zurori dwayyan sath len aur sipahi ke hamrah lashkar gaah
ponch gaye. Salaar apne khaimay mein bistar par para buri terhan se
dard se tarap raha tha. Hakeem Sahib ny usay apni dawa istemaal karwai.
Thori der mein is ki haalat sambhalna shuru hogayi. Yahan taq ke is ka
dard jata raha aur woh bistar par uth kar baith gaya.
Is
ne Hakeem Sahib ka shukriya ada karne aur un ki hikmat ko srahne ke
sath inhen asharfiyon (GEMS) ki aik theli bhi di. Hakeem Sahib Allah ki
is meharbani par mamnon-o-mashkoor masroor-o-Shadan apne ghar wapas
aagaye. Unhon ne apne ahl-e-khana ko tamam qissa sunaya aur inhen
asharfiyon (GEMS) ki theli dikhayi aur kaha ke inhen apna gaon chor kar
kisi barray shehar chalay jana chahiye. Wahan woh apna matab khol len
ge. Mumkin hai wahan un ki hikmat khoob chal nikal le. Un ki biwi ne un
ki is tajweez ko pasand kya .
Chunancha
yeh teh howa ke chand dino baad woh rakhat safar bandh kar kisi barray
shehar rawana ho jaien. Lekin isi shaam lashkar ke salaar ki taraf se
aik sipahi is ka pegham le kar poanch gaya ke Hakeem Sahib foran apna
rakhat safar bandh len aur apne khandan ke sath lashkar ke hamrah
dar-al-hakoomat Agra chalne ke liye tayyar ho jaien. Hakeem Sahib aur un
ke ahl-e-khanah foran hi tayyar ho kar lashkar se ja miley aur is ke
hamrah Agra rawana hogaye. Rastay bhar Hakeem Sahib salaar ki di hui
asharfiyon (GEMS) se Agra mein apna matab qaim karne ke terhan terhan ke
mansoobay sochte rahay. Unhon ney faisla kya ke Agra ja kar woh jis
makaan mein rahaish ikhtiyar karen ge isi ke aik hissay mein apni dukaan
hikmat khol len ge. Un ki yeh dukaan rafta rafta taraqqi karti jaye gi.
Lekin
ab Rehmat khuda wandi poori terhan josh mein aa chuki thi. Hakeem Sahib
ki Allah k huzoor sajda raizi aur giryaa-o-zaari ne Arsh Ellahi ko hila
diya tha! Jounhi yeh lashkar Agra pouncha, inhen ittila mili ke Noor
Jahan badshah begum shadeed arq Alnisa mein mubtala kayi dinon se hilnay
julne chalne phirnay se mazoor bistar par pari hain. Shahi atba aur
deegar hukma ki duwaein aur tadbeerye koi kaam nahi kar rahen. Yeh
ittila paate hi nowarid lashkar ka salaar shenshah Jahangir ki khidmat
mein haazir howa. Is ne usay hakeem Aleem Al-deen Ansari ke barey mein
bataya. Un ke hathon apni Shifa yabi ka waqia sunaya aur un ki hikmat ki
tareef karte hue un se badshah ki begum ke ilaaj ke sifarish ki.
Jahangir pehlay hi apni mehboob malika ki alalat par be hadd pareshan
aur har qisam ke ilaaj mualja ke liye tayyar tha. Foran raazi hogaya aur
hakeem sahib ko bulawa kar inhen malika ke ilaaj ka hukum diya.
Hakeem
Sahib neh malika ki fasad khulwai, fasid khoon nikala. Zurori adwiyaat
waghera den, ghiza (Food) aur parhaiz bataya. Allah ki qudrat se chand
dinon ke andar andar badshah ki begum mukammal sahet yab ho kar bistar
se uth kar chalne phirnay lagen. Isi par Jahangir neh Hakeem Sahib ko
nah sirf bhaari inamaat aur karamaat se nawaza balkay Wazir Khan ke
laqab se Sarfraz karte hue inhen Shahi tabeb ka ohda bhi ataa kya. Phir
inhen panj hazari mansab, aik shandaar mehal, nokar chaakar, hathi,
ghoray bhi ataa kiye. Yun Hakeem Sahib ke haan doulat ki rail pail
hogayi.
Un
ki biwi jo pehlay har dam un ki nakaam hikmat par nalan, tang dasti par
shikwah sanj rehti theen ab barri shaan ki zindagi guzaarnay lagen. Un
ke bachay aish-o-aaraaam se rehne lagey.
Lekin
is kayaa palat ke bawajood Hakeem Sahib ke ijaz o inkisar, shukar
guzari, taqwa aur deendari mein koi farq nah aaya. unhon ny apna daman
hamesha amirana zindagi ki aaludagiyon se bacha kar rakha aur apne aap
ko neki aur bhalai ke kamon ke liye waqf kar diya. Unhon ny be shumaar
masajid, madrasay, saarein, sarkain aur pull taamer kurwaye. Bewaon aur
yateem ke waazifa muqarrar kiye. Neki ke har kaam ke liye un ke haath
hamesha khulay rahay.
Phir
Jahangir ke baad Shah jahan takhat Agra par ronaq-e-afraz howa. Is naay
bhi Hakeem Sahib ki be had qader afzai ki. Inhen haft hazari mansab aur
jageer ataa ki. Ab Hakeem Sahib ki shaan-o-Shaukat mein aur bhi izafah
hogaya. Itnay buland maqam aur doulat ki rail pail ke bawajood Hakeem
Sahib Allah ke ahsaan ko kabhi na bhoolay. aur ba-dastoor neki aur
bhalai ke kaam karte rahay. Is zamane mein unhon naay apne gaon ke
qareeb Wazirabad shehar (city) abad kya aur masjid Wazir Khan jaisi
shandaar aur par shikwah masjid taamer karwai. Woh aur bhi bohat se neki
ke kaam karne ke khuwaishe dil mein liye hue they aur yaqeenan inhen
kar daaltay ke Allah ke huzoor se un ka bulaava agaya...
Yeh hai aik sachey sajday ki kahani …
0 comments: