Bani
Israel mein aik nojawan bohat khobsorat aur nihayat pak baz tha. Woh
nojawan topian aur tokrian bana kar bichta tha. Aik din bazaar mein
topian baichtay baichtay badshah ke mehal ki taraf nikal para. Mehal
mein aik Haseen Shehzadi ki is par nazar pari to is ne apni Khadima ko
bhaij kar is nojawan ko bulawa liya. Nojawan ne samjha ke shayad
shehzadi sahibaa ne kuch khareedna hai woh Khadima ke sath mehal mein
daakhil howa to Khadima darwaaza band kar ke bahar se chali gai aur
shehzadi barhuna haalat mein samnay aagy aur boli ae Haseen nojawan mere
qareeb aa aur meri khwahish poori karo.
Nojawan
ne kaha ke ae shehzadi is rab se dar jo bara be niaz hai. shehzadi nah
maani aur dhamki dainay lag pari ke agar to ne meri taskeen poori nah ki
to mein badshah salamat ke paas shore machati isi haalat mein jyon gi aur
kahoon gi ke is nojawan ne meri izzat zabardasti lotney ki koshish ki
hai. Ab nojawan bara pareshan howa aur kuch soch kar bola acha mujhe
nahanay ki ijazat di jaye taa ke mein saaf suthra ho jyo.
Shehzadi
boli theek hai par yahan nahi nahana tum ne kyun ke tum bhaag jyo ge.
Tum is Khadima ke sath chalees foot oopar mehal ki chhat par ja kar
nahao. Nojawan maan gaya aur oopar chala gaya wahan ja kar jo is ne
dekha ke ab kya karoon to is ke zehan mein is ke siwa koi aur hal nahi
aaya ke chalees foot chhalang hi laga di jaye. Is ne chhalang lagatay
waqt dua pari. “Ayy Allah pak mujhe teri nafarmani par majaboor kya ja
raha hai aur mein is buraiee se bachna chahta hon. Mujhe chalees foot
neechay chhalang maar kar mar jana to Manzoor hai lekin teri nafarmani
nahi”.
Yeh
keh kar nojawan ne chhalang maar di. Isi waqt aik Farishtay ko baari
taala se hukum jari howa ke jyo is nojawan ko bachao. Farishtay ne is
nojawan ko apne paron mein sama liya aur aaraam se neechay utaar liya.
Nojawan bara khush howa aur isi waqt shukrane ke Nafil ada kiye aur
bargaah Ellahi mein arz ki ke ” Maula to chahay to mujhe apne is kaam se
be-niaz karwa sakta hai. ae Rab mujhe to kuch anayt kar taa ke mein
aaraam se baith kar kha bhi sakun aur teri ibadat bhi kar saku”.
Uski
darkhwast qubool howi aur wohi Farishta jis ne usko bachaaya aik sonay
se bhari bori laa di. Azeem nojawan ne phir sajda shukar ada kya aur
bola ae mere parvar-digaar yeh jo sona isi rizaq ka hissa hai jo mujhe
duniya mein milna tha to is mein barket farma aur agar yeh is ajar ka
hissa hai jo mujhe akhirat mein milna hai aur uski wajah se mere akhirat
ke ajar mein kami hogi to mujhe yeh doulat nahi chahiye. Nojawan ko aik
ghayebana aawaz aayi “Yee jo sona tujhe Ata kya gaya hai is sabr ka 70
hissa hai jo to ne is gunah se bachney ke liye kya”.
Is
nojawan ne kaha ae mere maalik mujhe aisay khazanay ki haajat nahi jo
aakhir mein mere ajar mein kami ka baais banay. Chunacha nojawan ne jab
yeh baat kahi to sara sona isi waqt gayab hogaya.
bahawala kitaab : Uyoon Hakayaat
0 comments: