Tuesday, 21 March 2017

Tortoise and Coins


Thailand ke aik markaz baraye maholiyati tahaffuz (Department for enviormental saftey) mein aik samandari kachway ko guzashta chand dinon se tairnay mein shadeed mushkil ka saamna karna par raha tha. Jab doctoron ne is ka muaina (Examine) kya to is ke pait mein aisi cheez ki mojoodgi ka inkishaaf ho gaya ke har koi dang reh gaya. Arab news ki report ke mutabiq is 25 sala samandari kachway ke pait mein 915 sikay majood thay jin ke wazan ki wajah se is ke liye tairna mahaal (Diffcult) ho gaya tha.

Bataya gaya hai ke Thailand k markaz ke talaab (Pool) mein log khush qismati ke liye sikay phenkhte hain aur yeh kachuwa woh sakay nigalta raha. Vitrnri doctoron ne bataya hai ke kachway ke pait se nikalay gaye sakoo ka wazan 5 kilograme tha, jabkay khud is kachway ka wazan 59 kilograme hai. Doctor ka kehna tha ke "Kachway ke pait mein is qader sakay mojood thay ke hamein inhen nikaalte mein aik maheena laga."

Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: