Aksar
logon ke zehnon mein yeh sawal peda hota hai ke Masjid Al-hram aur
Mohrram jaisay pakeeza alfaaz ke sath 'haraam' ka lafz kyun aata hai.
Lafz haraam to hamaray nazdeek accha nahi, usay khana kaaba ke liye
istemaal karne se jhijhak mehsoos hoti hai. Asal mein yeh jhijhak hamari
arabi zabaan se nawaqfit ke sabab se hai. Arabi zabaan ke woh alfaaz jo
deegar zabanon jaisay urdu mein mustamil hogaye hain, woh kayi baar
apne haqeeqi mai-enay kho baithtay hain ya apni mumkina wast se mahroom
ho jatay hain ya phir is ke sath aisay tasawurat joor diye jatay hain jo
lafz ki asal rooh ke khilaaf hotay hain. Fakhi aitbaar se chunkay
haraam har is kaam ko kehte hain jis se deen hamein rokta ho lehaza
aisay af-aal ke sath sath lafz haraam se bhi aik ghair mehsoos na
pasandeedgi hum sab musalmanoon ke Izhan mein ghar kar gayi hai. Haraam
ke lughwi maienay "Rokne" ke hain. Haraam madah lafaz haram se nikla hai
jis ke aik maienay 'muqaddas jagah' ke bhi hain. Masjid Al-hram chunkay
muqaddas tareen jagah hai aur is mein bohat si hurmaten bhi muqarrar ki
gayi hain ya yun kahiye ke kayi pabandiyan aaid kar di gayi hain jaisay
yahan jung karna mamnoo hai. Isi riayat se usay 'Masjid Al-hram' yani
'hurmat wali masjid' puraka jata hai aur isi binaa par saal ke chaar
mahino ko Allah Azzwajal ny hurmat wala qarar diya hai. Isi terhan hajj
mein Ahram ki haalat mein bhi haaji par bohat si pabandiyan hoti hain
aur isi liye usay 'Ahram' kaha jata hai.
0 comments: