Monday 20 March 2017

Batakh ya Khargosh: Aap Kis Qader Takhleeqi Zehen ke Maalik Hain?



Yeh tasweer social media par share honay ke baad se taizi se maqbool ho rahi hai. Aap ko is mein kya nazar aata hai? Batakh ya Khargosh? Taqreeban aik so baras baad yeh tasweer dobarah samnay aayi hai, jis mein kisi ko khargosh dikhayi deta hai, to kisi ko batakh, lekin phir aik hi waqt mein dono ko bhi dekha ja sakta hai. Aur jo aap dekhte hain, woh is baat ki taraf ishara karta hai ke aap ka zehan kitni taizi se kaam karta hai aur aap kis qader takhleeqi salahiyat ke maalik hain.

''Independent'' ke mutabiq ''duck, rabbit'' drawing pehli martaba 1899 mein American maahir nafsiat, Joseph ne yeh jan-nay ke liye istemaal ki ke koi bhi ta-assur sirf dekhnay se peda nahi hota, balkay yeh aap ki zehni sargarmi ki janib bhi ishara karta hai.

Joseph ki reserch is bunyaad par thi ke kitni taizi se is drawing mein mojood dosray janwar ko dekha ja sakta hai aur kitni jaldi log is drawing se mutaliq apni raye tabdeel kar satke hain. Aap kitni jaldi apni raye tabdeel karte hain, kitni taizi se aap ka zehan kaam karta hai aur aap kis qader takhleeqi zehan ke maalik hain.

Independent ke mutabiq, guzashta baras jab yeh tasweer pehli martaba logon ne dekhi, to ziyada tar ko is mein khargosh dikhayi diya, lekin baad mein logon ki raye tabdeel ho gayi aur unhon ne usay batakh qarar diya.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: