Monday, 20 March 2017

Makrian Salana Kitna Gosht Kha Jati Hain ?




Scienctest ke mutabiq makrian salana bunyadon par insanon ki nisbat dugna gosht khati hain. Duniya bhar ki 25 million metric ton wazan ki makrian salana 800 million tan gosht khati hain.

The science of nature 'Nami Jareeday ne Germany, Switzerland aur Swedan se talluq rakhnay walay scientist ki aik tahaqeeq shaya ki hai jis ke mutabiq yeh nanhi muni makhlooq duniya bhar mein salana bunyadon par jitne keeray makoray kha jati hain, inhen tola jaye to un ka wazan qareeb 800 million metric ton bantaa hai. Is ke muqablay mein duniya bhar ke ensaan salana 400 million metric ton gosht khatay hain. Yani makrian har saal insanon ki nisbat qareeb dugna gosht kha jati hai.

Makriyon aur insanon ke baad wheel machhliyan teesray number par hain jo salana 280 se 500 million metric ton khoraak khati hain. Scientist ka kehna hai ke makriyon ki shikaar karne ki hawas agar mahool k hisaab se kam ya ziyada bhi ho jati hai. Scientist ne yeh takhmeenah makriyon ke wazan se lagaya hai.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: