Monday, 20 March 2017

Qadeem Tareen Pur-israr Cheeni Pipe jo Duniya ki Tareekh Badal Satke Hain



China ke subay Kin-Gayi mein zair zameen gharon mein 150000 saal puranay lohay ke pipe daryaft hue hain, jis ke baad yeh sawal khara ho gaya hai ke un pipes ko kis ny banaya, insanon ny, khalayi makhlooq ny ya phir kisi aur hi cheez ny. Scienctest ki aik team ko zair zameen payi jaaney wali pur asraar garon (Caves) ki tahaqeeq ke liye bheja gaya tha. Is tahaqeeq ke douran scienctest yeh dekh kar heran reh gay ke 3 garen (Caves) lohay ke pipes se bhari hui theen. Jo ke namkeen pani ki qareebi jheel ke andar taq ja rahay they. Yeh pipe intahi qadeem they aur mazeed science danon ko bulawa kar un ki Umar maloom ki gayi, jis se yeh na-qabil-e-yaqeen nateeja samnay aaya ke yeh pipe 1,50,000 saal puranay hain.

Duniya ke scienctest is baat par heran hain ke lakhoon saal pehlay yeh pipe kis ny banaye kyun kay is ilaqay mein insanon ki tareekh taqreeban 30 hazar saal purani hai aur mahireen ke mutabiq is se pehlay yahan insanon ka wujood nah tha. Mahireen ny mukhtalif khayalat ka izhaar kya hai. Kuch ka kehna hai ke yeh qudrati tor par banay aur kuch inhen khalayi makhlooq ka kar-naama qarar day rahay hain. Tareekh daano ka kehna hai ke un pipes ki haqeeqat maloom honay par hamein bani noo ensaan ki tareekh naye sire se likhni par sakti hai
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: