Monday 20 March 2017

Itna Taiz Internet ke Aap ki Khushi ki Intahaa na Rahay Gi.




Jadeed technology ke bukhaar ne internet aur Wi-fi ko ensaan ki kamzoree bana diya hai aur mumkin hai ke aaj ke ensaan ka shayad sab se bara masla Wi-Fi ki kam raftaar hi qarar paye. Ab scientist ne yeh masla hal kar liya hai. Unhon neh Wi-fi se 100 guna ziyada taiz aik system tayyar kar liya hai jis ka naam Li-Fi hai. The Metro ki report ke mutabiq Li-Fi ki raftaar heran kun tor par 40 Gigi per second hai aur yeh service aindah 5 saal tak sarfeen k liye dastayab hoon gi.

Netherlands ki Eindhoven University of Technology ke tahaqeeq karon ka kehna hai ke Li-Fi mein roshni ki shu-aon ke zariye internet ki tarseel ki jati hai aur is ke kamyaab tajarbaat kar liye ge hain. Is technology mein optical fibre se roshni ki shu’ayen bar-aamad-gi jo internet ko agay ponchayin ge. Is system ko chalne ke liye tawanai ki zaroorat bhi nahi ho gi.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: