Monday 20 March 2017

Smart Purse




Purse bohat saloon se aik se hi hain. Un se sirf aik hi kam ha, yani raqam, cerditt card aur raqam rakhnay ka kaam liya jata hai. Lekin woolet 2.0 ke bananay walon ne is purse ko zara jadeed andaaz mein banaya hai. Agarchay woolet 2.0 se bhi currency note, credit card ya sakay rakhnay ka kaam liya jata hai, lekin is ki khaas baat. Sarif ka is ke baray mein khabardaar rehna ha. Is smart purse ki khaas baat yeh hai aap usay ghar par bhool jayen ya koi aap ki jaib kaat le yeh foran app ko khabardaar karta hai. Yeh smart purse smart phone ke sath raabtey mein rehta hai. Sarif jaisay hi baghair purse ke ghar se bahar nikalta hai is phone par purse na honay ka notification milta hai.

Woolet 2.0 ke 2 models muta-arif karaye gay hain. Dono mein aik jaisay standard features, jaisay bluetooth, 6 mah ki battery, Wireless charging aur built-in speaker waghera hain. Yani is smart purse ko kahin rakh kar bolnay ki soorat mein un speaker ki madad se talaash kya ja sakta hai .

Europe mein in dono models ko haath se bana kar farokht kya jaye ga. Is mein 24 qirat sonay ka button bhi lagaya gaya hai.  Woolet 2. 0 ka size aam purse jitna hi hai. Is mein 4 credit cards aaram se sama satke hain. Woolet travel xl 2.0 thora bara purse hai. Is mein 6 Credit cards slots aur passport rakhnay ki jagah bhi hai. Xl model ke sath company aik mini pen bhi de ga...
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: