Wednesday 22 March 2017

Hazrat Ali (R.A) ki Izzat-e-Nafs aur Khud Atmaadi



Hazrat Umar (R.A) ke is imaan aur is imaan ke liye unn ke taasub ney unhein paish gaah nabuwat mein bhi izzat e nafs aur khud itmadi ke izhaar se nahi roka. Apni raye par unhein is qader aetmaad tha aur is ki taied mein woh aisi zabardast daleelen paish karte they ke is khasusiyat mein koi musalman un ki barabari nahi kar sakta tha.

Yeh sahi hai ke is zamane ke musalman jamood wabay amli se na aashna they. Un mein jo sahib raye hota woh Rasool Allah (PBUH) ki khidmat mein be-jhijak mahswara paish kar daita tha aur apni raye manwane ya mukhalif raye qubool karne mein behas ko apna jaaiz haq samjhta tha. 

Is muamlay mein un ki misaal unn musalmanoon ki si thi jo shorish-o-Bagawatke zamanoon mein chahtay they ke shorish-o-Bagawat ko is ke usool ke aakhri nuqtay taq pouncha den lekin Hazrat Umar (R.A) ki saaf goi aur jurrat un se barhi hui thi. Unhein Rasool Allah se be-intahaa mohabbat thi aur woh huzoor ki risalat par kabil-e-rashk imaan bhi rakhtay they lekin is ke bawajood khidmat nabwi mein apni raye ke asbat-o-israr mein unhein koi takalouf na hota tha..
Latest
Next Post

post written by:

0 comments: