Wednesday, 22 March 2017

DNA aur DATA



Columbia university aur New York Geunum center ne science magazine mein apni nai tehqeek shaya ki hai, jis ke mutabiq unhon ne DN mein data mehfooz bhi kya hai aur usay dobarah haasil bhi kya hai. 

Is tehqeeq mein shaamil logoon ne kamyabi se DNA mein computer operating system, francesi film, 50 dollar ka amazon gift card aur computer virus waghera ko mehfooz bhi kya aur usay dobarah haasil bhi kar liya.

DNA mein data store karne ke bohat se fawaid hain. Riwayati media ke bar-aks is ka size bohat hi ziyada kam hai. Mahireen (Experts) ke mutabiq aik gram DNA mein 215 Petta Bites (PB) data mehfooz kya ja sakta hai. Is ka matlab hai ke aik gram DNA mein aik Tera Bites (TB) ki 2 laakh 15 hazaar hard drives ke barabar data mehfooz kya ja sakta hai.

Mahireen (Experts) ke mutabiq DNA mein mehfooz kiye hue data ko 100 saal baad bhi re-store karen to yeh aaraam se re-store ho jaye ga.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: