South
Korea ki company ne aik software banaya hai jis ki madad se log apne
marnay walay payaron ki digital shakhsiyat ke sath baatein karne ke
ilawa unn ke sath selfie bhi banawa satke hain .
WITH ME
Nami application ke kaam karne ka tareeqa kuch is terhan hai ke sarfeen
ko, jab ke woh zindah hon, aik scanning booth ka visit karna parta hai
Yahan
computer unn ki 3D scanning karta hai aur unn ki digital shakhsiyat
bana deta hai. Is ke baad is digital shakhsiyat ko application mein load
kya jata hai.
Is
ke baad woh Sarif apni khud ki digital shakhsiyat ke sath baatein kar
sakta hai aur is ke sath selfie bana sakta hai jabkay uss ke baad uss ke
pyare is digital shakhsiyat ke sath selfie bana satke hain. Is se baatein kar satke hain .
yeh bilkul Pockemon game ki terhan hai jis mein Pockemon haqeeqat mein mojood nahi hotay magar mobile par nazar aa rahay hotay hain. Is terhan WITH-ME application
mein digital shakhsiyat sirf mobile mein hi mojood hogi aur log is ke
sath kharray ho kar tasaveer bhi banava saken ge.
0 comments: