Thursday, 16 March 2017

Khatoon-e-Jannat Hazrat Syeda Fatima Zahra (R.A)




Hazoor Nabi Kareem (PBUH) ki chaar dukhtranِ-e-zeeshan hain jo sabhi ki sabhi khatoon-e-aval Umm-ul-Momineen Hazrat Syeda Khadija (R.A) ke batan pak se aap ki pak betiyan hain. Quranِ Majeed f mein Allah taala ny Surah Al-Ahzaab ki aayat number 59 mein wazahat farmai hai "Ae Nabi (PBUH) Aap apni biwion aur baityon aur mominoun ki aurton se farma den, Agar Aap (PBUH) ki apni sirf aik beti hoti to Allah taala Quranِ Majeed mein uss ka zikar kher betiyan farma kar na karta .

Rab Zuljilal ke farmaan se yeh baat waziya hui ke Rasool kareem (PBUH) ki apni hi chaar betiyan theen jin ke naam tarteeb waar iss terhan hain .

1. Hazrat Syeda Zanib (R.A)
2. Hazrat Syeda Raqia (R.A)
3. Hazrat Syeda Umm-e-Kulsum (R.A)
4. Hazrat Syeda Fatima Zahra (R.A)

Quranِ Majeed ke irshad azeem ke mutabiq Aisi larki jo bewa aurat ke pehlay shohar se ho aur woh aurat kisi dosray shakhs se shadi kere to bewa aurat ki pehlay shohar se larki dosray shohar ki beti nahi kehlati balkay "Rabibha" kehlati hai."aur unn ki betiyan jo tumhari goad mein hain unn biwion se jin se tum sohbat kar chuke ho."

Hazrat Syeda Fatima Zahra (R.A) Rasoolِ Kareem (PBUH) ki pak baityon mein se sab se choti shehzadi hain. Aap ka Aasm mubarak "Fatima" hai. Aap ka laqab "Batool aur Zahra" hai. Batool ka mai-nay hai munqita hona, kat jana. Chunkay aap duniya mein rehtay hue bhi duniya se allag theen lehaza batool laqab howa. Zahra be-maine kalie' aap jannat ki kalie theen. Aap ke jism pak se jannat ki khusbhoo aati thi. Nabi Kareem (PBUH) songha karte they. Iss liye aap ka laqab Zohra howa. Mukhtalif riwayaat ke mutabiq Aap Elaan Nabuwat se aik saal ya paanch saal pehlay peda huien .

Hazrat Masoor (R.A) se rivayet hai farmatay hain, Rasoolِ Kareem (PBUH) ne farmaya: Hazrat Fatima (R.A) mera tukra hai jis ny inhin naraaz kya uss ny mujhe naraaz kya aur aik rivayet mein hai jo cheez inhin pareshan kere mujhe pareshan karti hai aur jo inhin takleef day woh mujhe satata hai.

Hijrat ke dosray saal Gazwa Badar ke baad Nabi Kareem (PBUH) ny inn ka Nikah Ameer-ul-Momineen Hazrat Syedna Ali (R.A) se kar diya. Nikah ke mauqa par Huzoor Nabi Kareem (PBUH) ny poocha : Ae Ali (R.A) aap ke paas koi cheez hai ?

Ameer-al-Momineen Hazrat Syedna Ali (R.A) ny arz kya ke mere paas aik ghora aur aik zarah hai. Aap (PBUH) ny farmaya : Ghora jehaad ke liye zurori hai. Zarah ko farokht kar daalo. Ameer-ul-Momineen Hazrat Syedna Ali (R.A) farmatay hain, mein ny zarah uthai aur bazarِ-e-Madinah Munawwara mein chala gaya aur mein ny yeh zarah Ameer-ul-Momineen Hazrat Syedna Usmaan bin Affan ke haath 400 darham mein farokht kar di. Ameer-ul-Momineen Hazrat Syedna Usmaan bin Affan (R.A) ny zarah khareedne ke baad mujhe tohfa ke tor par wapas kar di aur mein dono cheeze le kar Nabi Kareem (PBUH) ki bargaah mein haazir ho gaya. Huzoor (PBUH) se Ameer-ul-Momineen Hazrat Syedna Usmaan Ghani (R.A) ki khidmat ka zikar kya. Aap ny Hazrat Syedna Usmaan Ghani (R.A) ke haq mein duwaye kher farmai. Huzoor (PBUD) ny Hazrat Salman Farsi aur Hazrat Bilal ko bُula kar Ameer-ul-Momineen Hazrat Syedna Abbu Baker Saddique (R.A) ke sath rawana farmaya. Ameer-ul-Momineen Hazrat Syedna Abu baker Saddqiue (R.A) farmatay hain Aap (PBUH) ny mujhe 63 darham ataa farmaiye jin se mein ny mandarja zail cheeze khareedain. Aik Misri bichona' aik chamray ka gadda' aik chamray ka Balain jo khajoor ki chhaal se pur tha' aik khabiri qisam ki chadar' pani ke liye aik mashkeeza' koze' gharrey' wazu ke liye aik bartan' sof se bana aik bareek kapra' yeh tamam cheeze Ameer-ul-Momineen Hazrat Syedna Ali (R.A) ke unn paison se khareedi gayeen jo aap zarah beech kar laaye they. Ameer-ul-Momineen Hazrat Syedna Abu Baker Saddique (R.a) farmatay hain yeh samaan kuch mein ny khud uttha liya kuch Hazrat Salman Farsi (R.A) aur Hazrat Syedna Bilal (R.A) ny utha liya aur sab laa kar aap ki bargaah mein paish kar diya. 
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: