Film chal rahi hai. Is film mein year 2000 ka aaghaz honay wala hai. Hero ka mission hai ke shetan ko kisi terhan duniya ko tabah karne se rokay. Shetan bhi jaanta hai ke jab taq yeh hero zinda hai woh apne mission mein kamyaab nahi ho sakta. Chunancha woh usay wargha-lanay ke liye mujassam shakal mein aakar kehta hai. "yeh mein nahi tha jis ny tumahray biwi aur bachon ko mara. yeh kkhuda tha jis ny tumahray khandan ko aik accident mein halaak kya". Hero soch mein par gaya. shetan ny baat banti dekh kar aik aur zarb lagai. "Dekho agar tum khuda ka sath chor do aur mere sath mil jayo to mein tumhe aadhi duniya ka badshah bana doonga. Phir is khuda ka sath dainay ka kya faida jo tumhari khushion ka dushman aur tumahray biwi bachon ko cheennay wala hai". Hero ny aik lamhay ke liye shetan ko dekha aur bola "khuda apne bundon par kabhi zulm nahi karta” Yeh keh kar is ny apni wafadaari khuda ke sath khalis ki shetan ko halaak karne ke darpay ho gaya.
Zindagi ke ranj-o-alam, dukh, bemari, pareshani, qudrati afaat aur masail ko dekh kar aik aam shakhs khuda ke baray mein bad gumani ka shikaar hojata hai. Woh samjhta hai ke khuda is se khusihyan cheenna chahta, usay pareshan karta, usay darata, dhamkata aur fikar mein mubtala karta hai. Is badgumaani mein woh faramosh kar baithta hai ke khuda rehman, Raheem , shafeeq, meharban, mohabbat karne wala, paalne wala aur saari achi sifaat ka haamil hai .
Is badgumaani aur ki bunyadi wajah khuda ki scheme se nawaqfit hai. Agar khuda ny yeh duniya hamaray daimi araam aur sukoon ke liye banai hoti to yeh aitraaz jaaiz tha. Lekin is ki duniya to aik imthehaan ka kam-rah hai. Is kamray ka rang-o-roghan, pankhe, kursiya, qalam, dawaat aur deegar sazu samaan arzi bhi hai aur yeh mehez azmaish ki garz se diya gaya hai. Isi terhan har shakhs ke imtihani perchy sawalaat mukhtalif hain. Kisi ke perchy mein amarat hai to kahin gurbat-o-iflaas, kisi ke paas aulaad hai to kahin be-auladi, kisi aur ko hukmarani mili aur koi aik aami hai waghera .
Aik imthehaan mein betha taalib-e-ilm apni marzi ka sawal nama talabb kere to be-waqoof hai. Isi terhan aik ensaan khuda ki ataa ya uski mehroomi par aitraaz kere to pagal. Khuda ki scheme ko samajh len to maadi wasail ka milna aur chinna barabar hai kyun kay dono hi mein azmaish ka pehlu posheeda hai. Lekin khuda ki scheme se nawaqfiyat ho to yeh khuda ke baray mein bad gumani peda karti hai aur yeh badgumaani kufar taq le ja sakti hai .
0 comments: