Lincon university ke mahireen ne tahaqeeq se daryaft kya hai ke android phone khareedney walay logon ke mizaaj mein aajzi aur inkisari ka Ansar , Apple Iphone istemaal karne walon ke muqablay mein ziyada hota hai. Isi mutalay mein inhen yeh bhi maloom howa ke mardon ki nisbat khawateen mein Iphone khareedney ka rujhan dugna hota hai jo yeh zahir karta hai ke inhen apne samaji rabtey ka kitna khayaal rehta hai .
2 marhalon par mushtamil is mutalay mein andriod aur Iphone istemaal karne walay 770 sarefeen ko alehda alehda sawal-name diye gaye aur milnay walay jawabaat ki roshni mein un ke mizajon ka tajzia kiya gaya. Pehlay marhalay mein milnay walay jawabaat se pata chala ke andriod phone istemaal karne walon mein dayanat-dari, inkisari, mafahmat pasandi aur tahhaamul jaisi khususiyaat ziyada numaya theen lekin wo iphone istemaal karne walon ke muqablay mein bohat kam waqay hue they..
Dosray marhalay mein jaiza liya gaya ke un mein mazkoorah shakhsi khususiyaat waqai mein mojood bhi hain ya nahi aur ekh-tataam par andriod smart phone istemaal karne walon mein dayanatdari aur inkisari ki sadaqat saabit hui
Mahireen ka kehna hai ke smart phone jaisay jaisay aam hotay jarahay hain waisay waisay yeh hamari shakhsiyat ke aaina daar bhi bantay ja rahay hain. Yani smart phone ko hamara mukhtasir machinei wajood bhi qarar diya ja sakta hai. Is ka matlab yeh howa ke jis tarhan ka smart phone hum khareedna aur istemaal karna chahtay hain is mein hamari zaati shakhsiyat ko bohat dakhal hota hai .
Is ki sab se barri misaal iphone aur aam andriod phone ka farq hai. features chahay kaisay bhi hon lekin Apple iphone aala tabqay se talluq ki alamat bana howa hai jab ke muqami aur ghirmarof companies ke tayyar kardah smart phones ( jin mein andriod operating systems install hotay hain ) Mutwast tabqay ki tarjamani karte hain .
chunkay khawateen aam tor par zahiri chamak damak, maal o doulat aur samaji rutbey ko khusoosi ahmiyat deti hain is liye Apple aayi phone ke liye unn ki raghbat ziyada hona bhi herat ka baais nahi hona chahiye
0 comments: