Whatsapp ney haal hi mein muta-arif karaya gaya aik jadeed feature khatam karne ka faisla kya hai .
'Stories' khelane walay is feature ko Whatsapp mein text 'Status' ki jagah muta-arif karwaya gaya hai jis ke zariye sarfeen apni videos aur taswerain apne Whatsapp account par post kar saktay hain, jinhein un ke dost dekh bhi satke hain lekin yeh 24 ghantay baad khud-bakhud delete ho jati hain.
Bilkul aisa feature aik aur mashhoor social media app 'Snap Chat' mein pehlay se mojood hai aur Whatsapp mein is ki shamoliat ko chori qarar diya ja raha tha. Agar-chay is feature ki badolat Whatsapp bhi facebook ki doosri numaya apps ke qareeb agaya hai lekin sarfeen ney usay shadeed na-pasand karte hue mutalba kya ke 'status' ka purana feature bahaal kya jaye.
Sarfeen ki shekiyatoon ka jawab dete hue Whatsapp ney elaan kya hai ke na sirf 'stories' ka feature jald hi khatam kar diya jaye ga balkay is ki jagah tasveer, videos aur gifs share karanay ke liye aur bhi behtar 'status' feature paish kya jaye ga. Whatsapp ki new updates mein woh purana feature bhi bahaal kya jaye ga jis ke tehat profile mein tasweer aur deegar maloomat ke sath aik Adad mukhtasir ibaarat bhi shaamil ki jati hai jo mustaqil mojood rehti hai aur Whatsapp contact list mein mutaliqa fard ke naam ke neechay dikhayi deti rehti hai .
Whatsapp ney yeh elaan bhi kya hai ke andriod ke liye yeh tamam updates aindah haftay mein dastyab hon gi. Albata IOS ke liye yeh updates jari honay mein kuch waqt lag jaye ga.
0 comments: