Friday, 17 March 2017

British Jail's mein Musalmanoon ki Tadaad Kyun Ziyada Hai...




Yeh aik raaz hai. Kyun jailon mein musalmanoon ki tadaad mein izafah ho raha hai? Saal 2002 mein England aur Whales main qaid 5502 qaidyoun naay kaha tha ke woh musalman hain.

3 saal baad yeh tadaad barh kar 7246 ho gayi aur ab decemeber 2014 mein yeh 12,225 bataaye ja rahi hai. Theek hai qaidyoun ki majmoi tadaad mein bhi izafah howa hai. yeh Tadaad 2002 mein 70,778 thi jo ke guzashta decemeber tak barh kar 84,691 ho gayi thi.

Lekin jailon mein qaidyoun ki 20% bherne wali tadaad musalman qaidyoun ki tadaad se kahin kam hai jo ke 122% barhi hai .

Is ki aik mumkina wazahat to yeh ho sakti hai ke musalmanoon ki majmoi abadi bhi barhi hai. Saal 2001 ki mardum shumari mein England aur Whales mein musalmanoon ki tadaad kul abadi ka 3% thi jo ke taqreeban 1. 5 million banti thi.

Saal 2011 mein yeh tadaad barh kar 4.8% yani 2.7 million ho gayi. So aap kahin ge ke isi tanasub se jailon mein bhi qaidyoun ki tadaad barhi .

Lekin agar dekha jaye to jailon mein musalmanoon ki barhti hui tadaad musalmanoon ki barhti hui abadi ke tanasub se kahin ziyada hai. Ab jailon mein musalman qaidyoun ka tanasub 14.4% hai jo ke 2002 mein 7.7% tha .

Dehshat gardi par media ki tavajja se lagey ga ke jailon mein musalmanoon ki barhti hui tadaad ka talluq Islami dehshat gardon ko di jaaney wali sazaon se hai. Lekin adaad-o-shumaar yeh nahi batatay .

Wazarat insaaf ke data se pata chalta hai ke october 2012 se le kar January 2015 tak 178 qaidyoun mein se 104 musalman qaidi dehshat gardi jaisay juraim ki wajah se qaid hain jin ka muharrak intahaa pasandana nazriaat hain. Yeh tadaad musalmanoon ki kul abadi ka 1% bhi nahi hai.

Aik aur Ansar jo bataya jata hai woh yeh hai ke ghair mulki qaidyoun ki tadaad mein bhi izafah howa hai. Jo ke guzashta baras 10,500 thi.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: