Friday, 17 March 2017

Wali Sahib ke Zamane Mein Itnay Melay Lagtay The Ke.....



Wali sahib ke zamane mein itnay melay lagtay the ke hum sazz-dano ko khana to dar-kinar chaye peenay ka waqt bhi nahi milta tha. Garmiyon mein khatay peetay shanwari aur afridi tajir aur Khan apne dunbe sath laatay the aur hamein bahrain aur kalaam tak le jatay the. Kayi kayi din taq mahfilen rehti the aur jatay waqat jo samaan bach jata tha woh bhi hamein day kar khush khush jatay the. Aaj hamein dumb (dom) kaha jata hai. Yahi log Wali sahib ke zamane mein hamein aur hamari raqasaoon ko usaatzaa keh kar sir aankhon par rakhtay they. Mehengai ne jahan majroh ko mehdood kar diya wahein adab aadaab bhi hawa mein bikhar gay


Ustaad Sher Zaman ke barabar baithi gango aur kisi aam si boorhi aurat mein koi farq nahi mehsoos hota. 70, 72 baras ki gango ke chehray par khizaa ny jhuriyon ki soorat derey daaley hue hain. Theek se ab chala bhi nahi jata. Lekin yahi gango jis ke qadam aaj maan maan bhar ke hogaye hain, Wali ke darbaar mein taaj mehal raqasa ke tor par jani jati thi.

Anees so chalees ki dahai ka woh youm taaj-poshi band ghari ki soi ki tarhan is ke dimagh se chipka howa hai, jab wali ke darbari is par makhmal aur pesey nichhawar kar rahay they. Jab gango Shahi muhafizon ke tahaffuz mein mailon thelon mein apni gaayeki aur raqs ki chaab dikhlaati thi to tamashaayi kharray ho kar daad dete they .

Gango jaisi raqasaon ki yeh izzat sirf rasmi nahi thi. Jab koi Khan kisi raqasa par fida ho jata tha to mann ki sachaai saabit karne ke liye shadi taq kar leta tha. Gango ko bakhamina yaad hai jis se aik Khan ny martay dam taq nibaah kya. Zaiba yaad hai jisay wali ny apne harram ki zeenat bana liya.

Mmagar mere sath kya howa. mein nachi, meri 200 kanin nachin. Aaj meri aur 100 kaninon ki betiyan aur phir un ki betiyan naach rahi hain. Mein makhmal ke farsh par nachnay wali aaj apne halaat se itni tang hon ke kisi ke bartan dhoney aur jharoo laganay par bhi amaada hon.

Hamaray mardon ko muft khanay ki aadat hai. Is liye betiyan naachti hain. Hamaray ghar par naach gana nahi hota. Mangora ki baldiyati hadood mein bhi naach ganay par pabandi hai. Agar bahar se bulaway na ayen to hum to bilkul hi marjayen. Hum Swat se kahin aur bhi nahi ja sakte. Kyun kay yeh mohalla Wali ke zamane se mashhoor hai. Poooray Soobah Sarhad mein aisi koi jagah nahi. Hum yahan se uth gay to koi hamein pouchye ga bhi nahi .

Gango ki do potiyon ko gango ki bahu begum jaan ny is liye nachwaya ke baap ke ilaaj ke liye do lakh rupay chahiye the. Khud begum jaan Karachi mein abad aik swati saaz rande ke ghar peda hui aur shadi ke baad mangora ayn. Begum jaan ny bataya ke khandan mein bahu ko nachwana mayoob samjha jata hai. Lekin mujhe 3 larkiyon ki paidaiesh ke baad bhi naachna para. Aik ki shadi ho gayi. Do ny baap ke ilaaj ke liye qadam bahar nikalay. Ab yeh khud bohat mashhoor ho gayi hain. Un ke raqas ki CD niklny ke baad mujre ke liye maang bhi barh gayi hai. Ab to yeh meri bhi nahi suntin.

Neelo aur Shabana Begum Jaan ki baatein sun sun kar musalsal muskarati rahen aur jaisay hi microphone ka rukh un ki taraf howa muskurahat rukhsat ho gayi .

Hum ny sirf Quran parha hai. School nahi gay. Maa ny do dafaa koshish bhi ki lekin hum ny socha ke jab yahi sab karna hai to parhai se kya faida. Ab hamara yahi school hai. Parhnay jayen to logon ke taanay sunen. Mujron mein jatay hain to log gaal aur baal khenchte hain. School mein sirf be-izzati hoti hai. Mujron mein be-izzati ke pesey bhi mlitay hain. Kisi ko bhi pata nahi chalta jab hum naachtay naachtay dil hi dil mein kabhi kabhar roo parte hain. Jab koi aawaz lagaata hai ke kya tumahray ghar mein koi mar gaya hai, jo is be-dili se naach rahi ho to phir hum dil khol kar naachtay hain .

Magar jo log nashay mein badtameezi nahi karte woh jhutay waday karte hain. Shadi karlo. Ghar le lo. Saari doulat le lo. Tum na milein to tumahray ghar ke samnay khud ko maar dalun ga. Nahi manen to mujray se utha kar le jayen ge. Ghar par bande le kar ayen ge aur balon se ghasetetay hue le jayen ge. Hum kehte hain is sab ki kya zaroorat hai tum hamein waisay hi le jao. Hamaray maa baap ke paas rishta bhaij do. Tab inka nasha utar jata hai.

Shabana ny Neelo ki baat kaatetay hue kaha, log khoon se shair aur khat likh kar hamein zabardasti thama dete hain. Mujhe aik aadmi ke baare mein yeh jaan kar itna dukh howa ke is ny mujhe jo khat likha tha woh apne nahi murghi ke khoon se likha tha. Mein aur Neelo jab shopping karne kabhi jatay hain to burqay ke bawajood woh peeron aur aankhon se pehchan jatay hain. Dekho dekho Neelo ja rahi hai. CD wali Neelo. .. Hum bohat dartay hain. Hamari kai larkoon se logon ny jhoot bol bol kar shadi ki aur 2, 3 mahinay baad Talak de kar nikaal diya. Loog pehlay hamara naach ya CD dekh kar aashiq ho jatay hain aur phir bhoot ho jatay hain.

ShahZaib ki Umar 30 saal hai. Woh Shabana ka bhai bana howa hai. 9th class mein ustaad ny kisi baat par maar maar kar is ke haath ka anghutha toar diya aur yeh kehte hue class se nikaal diya ke tum dumb parh kar kya karogay. Tablichi (Tabla Bajane Wale) ki aulaad ho jao tabla sikho.

ShahZaib is din ke baad school nahi gaya. Darzi ka kaam seekha. Afghan darziyon ny itnay saste kapray seenay shuru kiye ke ShahZaib ny yeh kaam bhi chore diya. Ab woh Neelo aur Shabana ke sath aata jata hai.

Kehnay laga, hamein hamaray maa baap ny is ke ilawa kuch nahi sikhaya ke behnoon ke sath betho ya un ke sath jao. Bitayen hum aur kya karen. Agar log hamein bura samajte hain to yeh kyun nahi batatay ke hum achay kaisay banin. Wali Sahib ke zamane mein hum kyun achay kahe jatay they. Hum to chor aur daku tak nahi ban satke. Phir bhi hum buray hain. Agar hain to hain, kya karen, bas hain, hum aisay hi hain. Meri 3 betiyan hain, agar sab kuch aisay hi raha to woh bhi nachin gi, aur shayad un ki betiyan bhi.....
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: