Friday, 17 March 2017

Galaxy S8 Mein Chehray se Phone Unlock Karna Hoga Mumkin



Samsung ka naya flag ship smart phone galaxy s8 mumkina tor par chehray shanakht karne wali technology se lais hoga jo ke is waqt kisi dosray phone mein mojood nahi.

Khabar-rasan idaray bloomberg ki aik report ke mutabiq galaxy s8 mein chehray ko shanakht kar kay adai-gi karne wali technology shaamil hogi. Dar haqeeqat is phone mein Samsung ki janib se figner print, aankhon se phone ko un lock karne wali IRS aur chehray ko shanakht karne wali technology ko akatha kar diya gaya hai, jo ke phone ko mehfooz rakhnay ke sath payment services ke liye bhi tasdeeq mein madadgaar saabit hon gi.

Samsung ney is hawalay se mukhtalif banks ke sath shiraakat daari par bhi kaam shuru kar diya hai. Galaxy s7 mein aankhon se phone ko unlock karne ki technology to di gayi thi magar yeh pehli baar hai ke chehray ki madad se phone ko istemaal kya ja sake ga aur dilchasp baat yeh hai ke Apple apne naye iphone 8 ke liye bhi is technology ko apnane par ghor kar rahi hai.

Is waqt kisi bhi iphone mein is terhan ka feature mojood nahi, magar company ney mukhtalif companies se is program ki tayari par baat chet zaroor ki hai. Magar Samsung lagta hai is muamlay mein baazi le jaye gi, jo ke is waqt galaxy note 7 ke dachke se bahar niklny ke sath iphone ke 10 saal mukammal honay par Apple ki new device se bhi apne phone ko behtar saabit karna chahti hai.

Samsung ka yeh phone 29 March ko New York mein aik taqreeb ke douran muta-arif karaya jaye ga, jab kay usay April mein farokht ke liye paish kya ja sakta hai.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: