Apne aapko din bhar sehat mand rakhnay ke liye rozana ki bunyaad par kaisi ghiza letay hain uskay baray mein aapko pata hona chahiye. Aaiye hum aapko batatay hain ke konsi ghiza apke liye sahet bakhash aur konsi nuqsaan-de hai.
Doodh ka Glass: Doodh qudrat ka diya howa aisa anmol tohfa hai jiski ifadiyat se inkaar mumkin nahi. Lekin is mein kaafi ziyada charbi payi jati hai jo barhti hui khawateen ke liye nuqsaan-de hai, agar aap ka wazan barh raha hai to aap apni routine check karen, agar aap subah nashtay mein aur raat ko sotay hue doodh peenay ke aadi hain to usay din mein sirf aik time kar dein.
Khanay ke Baad Kuch Meetha Lainay ki Aadat: Kuch logon ko aadat hoti hai ke woh khane ke baad kuch meetha khanay ke aadi hotay hain. Jism mein cheeni ki ziyada miqdaar ap kee sehat ke liye bohat ziyada nuqsaan-de hai uskay ilawa is se diabetes jaisi khatarnaak bemari ke honay ka andesha hota hai.
Aalo ka Ziyada Istemaal: Haliya tahaqeeq se yeh baat saabit ho chuki hai ke ghiza mein aalo ka zayada istemaal wazan ko barhane ki wajah bantaa hai, uskay ilawa yeh baadi bhi hota hai jo maiday ke liye nuqsaan-de hota hai. Agar aap aalo ki jagah hari sabzion ka istemaal apni khoraak mein barha dain ge to aap lambay arsay taq pait ki bimarion se mehfooz reh satke hain
Tali Hui Ashiya: Chips, taley hue pakoray, tali hui machhli ya khanay mein tail ka ziada istemaal apkee sahet ke liye nihayat nuqsaan-de hai, agar aapko taley hue khanay khanay ka shoq hai to samajh len ke aap zeher kha rahay hain. Aap ko foran apni khoraak se un ashya ko tark karna hoga.
0 comments: