Saturday, 18 March 2017

Sheeshay ke Rangeen Pahar aur Sehraa




Sehray-e-naqab mein waqiya Israeli qasbay Yarwehem mein sheeshay ke rangeen pahar hain jo 50ft tak buland dikhayi dete hain. Fonikiya glass works Ltd factory jo sheeshay ki purani bottles ko recycle karti aur ilaqay mein phaily khaas rait ki madad se nai botelain banati hai, pedawar ke douran hazaron naaqis bottles bana baithi hai.

Ab yeh naaqis bottles maidan mein pheink di gayi hain aur dheron dhair sheeshay aur botelain bikhare parre hain jinhein dobarah bottles bananay ke liye istemaal kya jaye ga. Lekin is se pehlay ke kar-khanay mein kaam ka aaghaz ho aik photographer Adid Balti ny sabz, niilii aur bhooray rang ki bottles ke dhair ke aisay manazair liye hain, jo kisi bhi sehraa mein na qabil yaqeen hain....
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: