Saturday, 18 March 2017

Dosti ko Gehri Dosti Mein Tabdeel Karen....




Achay dost qismat walon ko miltay hain lekin samajh-daari ke zariye hi lambay arsay taq dosti barqarar rakhi ja sakti hai. Duniya ka har shakhs achay dost ka khwaahan hota hai. Koi nahi chahta ke khushi ke mauqa par usay baantane wala koi na ho ya phir ghamgeen jaghahon mein usay sambhalne ke liye koi agay na aeye. Maana ke taali do haath se bajti hai aur gehri dosti ke liye do logon ka raazi hona bhi zurori hai, lekin is se bhi ziyada ahem dosti ke liye bharne wala pehla haath hai. Is liye der na karen aur un tajaweez par amal kar ke apne doston ko khud se mazeed qareeb karen.

Dayanatdari Se Kaam Lain.
Apne dost ke sath mukammal dayanatdari se paish ayen. Kisi bhi sorat-e-haal mein apne haqeeqi jazbaat bayan karne se na gabhrayin aur dost ko apne khayalat se aagah karen. Acha dost na sirf aap ke khayalat ko sarahay ga balkay agar zaroorat hui to aap ki islaah bhi kere ga. Aur yahi to aik sachey dost ki pehchan hai.

Husn-e-Zan Rakhen
Koi bhi ensaan ghalti se pak nahi, to phir aap ka dost kaisay ho sakta hai? Lekin zururi nahi ke aap ka dost jaan boojh kar ya kisi badniyat iraday se hi koi kaam kere. Is liye apne dost ki ghaltion ko nazar andaaz karna sekhen. Agar usay aap ki zaroorat hai to islaah karen.

Ikhtilafat Ko Bardasht Karen
Har shakhs ki aadaat, chaal chalan, aur pasand-o-na-pasand mukhtalif ho sakti hai aur un hi cheezon ka ikhtilaaf do doston ko door kar sakta hai. Lekin achay dost hi in mukhtalif cheezon ko khush dili se qubool karte hain, balkay aik dosray ki in-fi-ra-diyat ka bharpoor lutaf utha satke hain.

Raabtey Mein Rahen
Door-e-Jadeed mein kisi bhi shakhs se raabtey mein rehna bohat aasaan ho chuka hai to phir is mein khalal kaisi? Dosti ko mazeed gehra karne ke liye un mein se koi bhi zareya istemaal kar saktay hain jaissa ke mobile phone, e-mail, Facebook waghera. Agar aap ko kisi shakhs se koi nahi bhi hai to bhi rabita kar lanay mein koi harj nahi. Ho sakta hai aap ke masroof tareen schedule is baat ki ijazat nah day, Lekin dosti gehri karne ke liye apni tarjeehat mein raabtey ko shaamil karna hi hoga.

Achi Yaadon ko Taaza Rakhen
Puranay doston ke sath aap ke kayi yadgar din aur lamhaat zehan mein ya tasaveer waghera ki soorat mein mehfooz rehtay hain. Bas zaroorat hai to chand minute nikaal kar inhen taaza karne ki. Is ke liye apne dost ke sath baithak jamayin aur mil kar purani yaado ko taaza karen, to is ka maza aur bhi dobala hojaye ga. Is se aap ko apni dosti gehri honay ka bhi ehsas hoga jo mustaqbil mein usay mazeed gehra karne ki targheeb miley gi.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: