France mein tehqeeq karne walay scientist ka kehna hai ke jab temperature 180 degree par ponchata hai to makayi (Corn) ke daano ka bairooni shall phatnay se danay uchalnay lagtay hain aur danay ke phatte hi is mein se niklny wala pani ka chhota sa qatra aawaz peda karne ka sabab bantaa hai. Jis ke baad yeh mazedar aur kurkure pop corn tayyar ho jatay hain.
Scientist ka kehna hai ke is poooray amal mein second ka (100wan) hissa lagta hai, oven mein paknay walay poop corn ke is amal ko mazeed geherai taq jhanchne ke liye high speed cameron ka istemaal kya gaya jis ne makayi ke daano ke har second ke 29 hazaar frame record kiye. Oven mein paknay ke douran makayi ke daano mein mojood pani ka qatra 100 degree par esteem mein tabdeel hona shuru hojata hai. Jabkay 180 degree par makayi ka dana andar ban'nay walay pressure ko bardasht nahi kar paata aur is ka bairooni shall phatt jata hai jab ke dilchasp baat yeh hai ke 170 degree par sirf 34 % danay phatte hain, lekin 180 degree par 96 % danay phatt kar poop corn ki shakal mein tabdeel ho jatay hain...
0 comments: