Samaji raabtey ki Website Facebook ke Founder Mark Zuckerberg ney Hindustan mein internet ki sahulat se mahroom afraad ke liye aik programme ka aaghaz kardiya. Is baat ka elaan Mark Zuckerberg ney Facebook par apne pegham mein karte hue kaha ke internet Dot ORG Nami mansoobah hindustan mein mutarif karaya gaya hai jis ke tehat 6 Indian States ke rehaishiyon ko sahet, taleem, rozgaar aur commutation ke liye muft bunyadi internet services faraham ki jayen gi. Unhon ney bataya ke guzishta baras ke douran hum ney is programme ko Africa aur Latin America ke 15 crore se zayed afraad ko muft bunyadi khidmaat faraham karne ke azm ke sath shuru kya tha aur ab taq saath laakh afraad internet ki sahulat haasil kar chukay hain, jis ke baad hamein un ki zindagion aur commutation waghera mein inqalabi tabdeeli ki kahaniyan sun-nay ko mili hain.
0 comments: