Is se barri Nemat hum pedaishi Musalmano ke liye shayed hi koi ho ke Allah ne hamein musalmano ke ghar peda kya aur hamein Deen Islam ki khoj nahi karna pari. Bohat se loog jo Islam ko tehqeek-o-tajzia ke baad apnatay hain woh hum musalmano se aala kirdaar ke haamil ho jatay hain. Jin logon par khuda ka fazl howa aur unhon ne Islam qubool kya un ke qubool Islam ke herat angaiz waqeat hain. Qubool Islam ka yeh waqiya herat angaiz bhi hai aur sabaq amooz bhi.
Herat angaiz is aitbaar se ke nuzool-e-quran ko kam-o-besh daidh hazaar (1500) saal ka arsa guzar janey ke baad bhi aaj taq is nuktay par kisi ki nazar nah jaski jo aik American doctor ke qubool Islam ka muharrak bani aur sabaq amooz is pehlu se hai ke kitaab Ellahi mein ghor aur tahaqeek justojoo bandgaan khuda ke liye hadaayat-o-Maarfat ke darwazay kholnay aur Sarat-e-mustaqeem par gamzan honay ka aaj bhi itna hi muasar zareya hai jitna woh nuzool wahi ke waqt tha.
America ke aik hospital mein aik ajeeb-o-ghareeb waqiya paish aaya aur is waqeye ke zir-e-asr american doctor musalman hogaya. Hospital mein aik roz delivery ke doo case aik sath aeye. Aik aurat se larka peda howa, doosri se larki, jis raat un dono bachon ki wiladat hui ittafaq se nigran doctor mauqe par mojood nahi tha, dono bachon ki kalai mein woh patti bhi nahi baandhi hui thi jis par bachay ki maa ka naam darj hota hai to nateeja yeh howa ke dono bachay khalt malt hogaye aur doctors ke liye yeh shanakht karna mushkil hogaya ke kis aurat ka kon sa bacha hai halaank un mein se aik larki thi aur dosra larka. .
Wiladat ki nigrani krni wale doctors ki team mein aik musalman Misri doctorr tha jis ko apne fun mein barri mahaarat haasil thi aurAamerican doctors se is ki barri achi dosti thi aur apne staff ke aik Amrican doctor se gehri dosti thi. Dono doctors sakht pareshan they ke is mushkil ka hal kaisay nikala jaye? Amrican non-muslim doctor ney Misri doctor se kaha ke tum to daawa karte ho ke Quran har cheez ki tashreeh karta hai aur is mein har tarhan ke masail ka ehata kiya gaya hai, to ab tum hi batao ke un mein se kon sa bacha kis aurat ka hai?
Misri doctor neh kaha ke haan Quran-e-hakeem be shak har muamlay mein rahnumai hai aur mein usay aap ko saabit karkay dikhao ga. Magar mujhe zara mauqa dijiye ke mein khud pehlay is muamlay mein itminan haasil karloon. Chunancha Misri doctor neh baqaida is maqsad ke liye Misar (Egypt) ka safar kya aur Jam-e-Azher ke baaz Shyokh se is maslay mein istafsaar kya aur American dost doctor ke sath ki gayi baat cheet ki rudaad bhi paish ki. Azhri Aalam ne jawab diya ke mujhe tibbi mamlaat-o-masail mein idraak haasil nahi hai. Albata mein Quran ki aik Aayat parhta hon. Aap is par goro fikar karen. Allah neh chaha to aap ko is maslay ka hal is mein mil jaye ga. Chunancha is Aalam ne darj zail Aayat parh kar sunai. ''tarjuma : mard ka hissa do aurton ke barabar hai.'' ( Al-Nissa 11 ) Misri doctor ne is Aayat mein ghor shuru kar diya aur geharie mein jaany par usay is mushkil ka hal bil akhir mil hi gaya.
Chunancha woh loot kar America aaya aur apne dost doctor ko aetmaad bharay lehjey mein bataya ke Quran neh saabit kardiya hai ke un dono mein se kon sa bacha kis maa ka hai. American doctorr neh barri herat se poocha ke yeh kis terhan mumkin hai ?
Misri doctorr ne kaha ke hamein un dono aurton ka doodh test karne ka mauqa dijiye to is muamay ka hal maloom hojaye ga. Chunancha tjzyie-o-tahaqeeq ke nateejay mein maloom hogaya ke kon sa bacha kis aurat ka hai aur Misri doctor ne apne non-muslim dost doctor ko is nateejay se poooray aetmaad ke sath aagah kar diya. Doctor heran-o-shashdar tha ke aakhir yeh kaisay maloom hogaya?
Misri doctor ne bataya ke is tahaqeek-o-tjzyie ke nateejay mein jo baat samnay aayi hai woh yeh thi ke larke ki maa mein larki ki maa ke muqablay mein dugna doodh paaya gaya Phir Misri doctor ne American doctorr ke samnay Quran kareem ki woh mutaliqa aayat talawat ki ( mard ka hissa do aurton ke barabar hai ) jis ke zariye is ne is mushkil ka hal talaash kya aur jis aqde ko hal karne mein dono doctor nihayat pareshan they. Chunancha woh Amrican doctor foran imaan le aaya.
Aisa hi aik waqea Hazrat Ali (R.A) ke zamane mein bhi paish aaya tha. 1400 saal pehlay Islam ne is tarhan ke paicheeda masail ko lamhoon mein kis tarhan hal kya tha is maqsad ke liye woh waqea yahan paish kya ja raha hai
Aap (R.A) ke zamana khilafat mein do aurton ki aik jagah aur aik hi raat mein zichgi hui. Aik larka aur doosri larki thi' larki wali ne apni larki ko larke wali ke jhulay mein daal kar larke ko le liya. Larke wali ne kaha ke larka mera hai yeh muqadma App (R.A) ke paas aaya, App (R.A) ne hukum diya dono ke doodh wazan kiye jayen jis ka doodh wazni hoga larka is ka hoga...
0 comments: