London mein doctors ny 1600 Insani dilon ko digital shakal mein aik computer par zakheera kya hai. Is zakheere ka maqsad hai ke mareezon ke jain ke sath dil ki tafseeli maloomat ka mawazna karkay naye ilaaj ijaad kiye jayen. Yeh wasee maloomat ke zakheere ke istemaal ka taaza tareen project hai. Yeh mutala naye '' barray data '' par mabni nai lehar mein se aik hai jo ke tahaqeeq ke tareeqay mein zabardast tabdeeli ka muharrak raha hai. Hospital mein medical council ke clinics sciences center ke scientist ny 1600 mareezon ke dil ki 3D tafseelaat akhatta ki hain aur har aik raza-car se un ki jeneati maloomat haasil kar rahay hain. Doctors ka kehna hai ke is naye tareeqay mein mamool ki tibbi jaanch ke muqablay mein behtar imkanaat mojood hain' Logon ki jain aur dil ki bemari ke darmain bohat paicheeda rishta hai aur hum abhi tak un ke barey mein jan-nay ki koshish mein lagey hain lekin dil ki wazeh 3D tasweer ki soorat mein hamein umeed hai ke is se dil ki bemari ke asbaab ko samajhney mein izafah hoga aur hum mareez ko bar waqat sahi ilaaj faraham kar satke hain...
0 comments: