Tuesday, 14 March 2017

Take a Book, Leave a Book.



Pehli little free library hadson vskonson mein Tod-Boll ny shuru ki jo aik dam maqbool ho gayi yeh khayaal sabhi ny pasand kya. Tod ne lakri ka aik box tayyar karaya jis ki banawat kisi school jaisi thi. Is ny yeh box apne lawn mein aik chhootey se baans par lagwa diya Tod ny yeh little free library apni maa ki yaad mein shuru ki thi jo kitabon se bohat mohabbat karti theen aur aik shool teacher theen is ke baad Tod ny yeh idea apne Partner Brooks ke sath share kya jis ny is ke farogh ke liye dil-o-jaan se kaam karna shuru kya. Rook brooks ki mehnat rang layi aur jald hi little free library aam logon aur khaas tor se bachon mein maqbool honay lagi is ki wajah yeh thi ke usay shuru karna bohat asaan tha. 

Library ke malkaan khud apne library box takhleeq kar satke they yeh box aam tor se guria ke aik chhootey se ghar ke barabar hota hai. Aisi little free library ke oopar yeh ibaarat likhi hoti hai : '' take a book leave the book'' yani aik kitaab degiye aur aik kitaab lijiye''
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: