Wednesday, 15 March 2017

Mamooli Qeemat ka Haamil Naya Jadeed Nokia 3310 Kin Mumalik Mein Istemaal Nahi Ho Sakay Ga?\



Nokia ne 22 ghantay lagataar istemaal honay wala phone muta-arif karwa diya, herat angaiz features, Qeemat sirf 5000 rupey, tafseelaat ke mutabiq Nokia ne bil-aakhir 3310 mobile phone ko aik baar phir muta-arif kara diya hai, dobarah manzar aam par anay wale Nokia 3310 pehlay ke muqablay mein ab ziyada behtar hogaya hai. Ab is ka design mukhtalif hai jabkay screen bhi colour ho gayi hai, 2 mega pixel LED flash camera,  2.4 inch ki screen ke sath yeh mazeed khoobsurat ho gya ha.

Is mein Micro USB charging port, head phone jack, 16 MB storage, jisay 32 GB taq barhaya ja sakta hai, bluetooth bhi shaamil hai calls, FM radio, MP3 player, text aur snake game bhi shaamil hai, sab se barri khasusiyat is ki battery hai jo ab pehlay se bhi ziyada taaqatwar hai aur aik charge par lagataar 22 ghantay taq phone cal ki ja sakti hai.

Jab kay aik mahinay ka standby time hai. Chaar rangon mein muta-arif karaye janay wala yeh phone rawan saal hi duniya bhar mein 50 dollars taqreeban 5000 Pakistani rupay mein farokht ke liye paish kya jaye ga... Ta-hum is phone ke chahanay walon ke liye aik buri khabar bhi hai ke Nokia 3310 America aur canada sameit duniya ke kayi mumalik mein nahi chalay ga. Khabrain hain ke Nokia 3310 ki nai device mein sarfeen ki sahoolat ke liye bohat si cheezein tabdeel ki gayi hain lekin is device ki frequency tabdeel nahi ki gayi hai jo 900 MHz aur 1800 MHz hai.

Yeh frequency America aur canada sameit kayi mumalik mein ab band ho chuki hai aur kayi mumalik mein unhein tabdeel bhi kya ja raha hai. Is ka matlab hai ke Nokia 3310 ka naya version bohat se mumalik ke liye be-kar hoga.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: