Ghota khoron naay Israeli Bahera Rom ki sahili patti par waqay Qasariya ki bandar-gaah ke qareeb se besh qeemti khazana daryaft kya hai. Yeh khazana sonay ke 2000 coins par mushtamil hai. Reyasti Qawaneen ke tehat yeh khazana riyasat ki malkiyat hai jab kay usay talaash karne walay ghota khoron ko aik sikka taq nahi diya jaye ga. Ghota khoron ka kehna hai ke pehlay pehal to woh usay bachon ke khailnay walay sakay samjhay magar phir foran hi inhen pata chala ke yeh to asal khazana hai, jis ki tasdeeq mahireen naay bhi kar di. Mahireen ka kehna hai ke un coins ka taluq 10 sadi Eewsi se hai.
Mashriq Wasti aur Shumali Africa par 909 se 1171 taq Fatimy khandan naay hukoomat ki hai. Is liye khayaal kya ja raha hai ke yeh khazana kisi Fatimy khalifa ka hi hoga. Un coins ke wahan mojood honay ke hawalay se aur bhi mukhtalif mufroazat qaim kiye ja rahay hain. Kisi ka kehna hai ke ho sakta hai ke yahan par khazanay se lada koi jahaaz tabah ho gaya ho, aik khayaal yeh bhi hai ke fojion ki tan khuwa ke liye koi sarkari kashti ho jo yahan tabah ho gayi ho. Aik khayaal yeh bhi hai ke yeh khazana kisi barray tajir ko ho jo sahili shehron ke sath sath kaarobar karta hon. Israeli intizamia naay is khazanay ki majooda maliyat ka andaza laganay se inkaar kar diya. Jis jagah se yeh khazana mila hai wahan mazeed talaash ka amal jari hai ...
0 comments: