Wednesday, 15 March 2017

America Mein Aik Maqam Aisa Hai Jahan Log To Rehtay Hain, Lekin Wahan Har Qisam Ke Radio aur Wireless Signal Par Pabandi Ayed Hai.....


West Virginia mein Green-Bank ka yeh ilaqa bohat door daraaz waqay hai aur usay Poko-Hontis-county kaha jata hai. Is maqam ko national radio QUITE (khamosh) zone qarar diya gaya hai jahan 2 jadeed tareen rediyai door-beens (Binoculs) lagai gayi hain yahan wireless signals par sakht pabandi hai aur logon ko phone istemaal karne ke liye ilaqay se bahar jana parta hai .

Is ki wajah yeh hai ke yahan duniya ki ahem tareen rediyai doorbeen (Radio Telescope) qaim hai aur halka sa wireless signal bhi scientist ki tehqeeq mein khalal daal sakta ha.

Yahan ki door-beens kaayenaat ki gehraion mein jhanknay mein masroof hain. Yeh hassas radio signal wireless signal se mutasir ho saktay hain aur is terhan scientist ko tehqeeq mein shadeed mushkilaat paish aati hain. Isi liye Green Bank mein phone istemaal karne par mukammal pabandi ayed hai. Jab ke yahan cell phone ke signals bhi nahi atay. 

Yahan log bhi rehtay hain aur woh cable internet istemaal karte hain. Is ke ilawa radio telescope ki Emarat mein kisi qisam ka khud-kaar darwaaza bhi nahi hai. Kyun kay is ke amal se bhi tehqiqaat mein khalal waqaiya ho sakta hai. Yahan rehne walon ko telly phone both ki service faraham ki gayi hai  

Wireless signal par pabandi ke bawajood bhi log is ilaqay ko chore kar nahi ja rahay bal-kay barri tadaad mein log yahan aaa rahay hain. Aisay log jo wireless aur wifi network se allergy rakhtay hain ya Electro-magnetic hasasiyat jaisay marz ke shikaar hain. Aisay mareez Eifi se bemaar ho jatay hain lekin science is bemari se inkaar karti rahi hai .

Ta-hum aik cell phone company ne Green Bank mein waqaiya Snow-Show-Mountain uski Razvert mein bohat ahthyat se network qaim kya hai. Is network ki mudakhlat ko kam karne ke liye Engineers ne khususi tor par tadabeer ikhtiyar ki hain jo doorbeeno par asar andaaz nahi hon gi...
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: