Wednesday, 15 March 2017

Esaiyat khatray mein.....



Senate Mathew ki khanqah mein sirf 6 Rahib reh gaye hain. Kiya Esaiyat jis ka zahuur Mashriq Wasta mein howa tha, khi-tay mein jari tana-ziyaat aur zulm-o-sitam ke bawajood bach jaye gi. Mashriq Wasta mein bharti hui shi-dat pasandi ki wajah se hazaron ki tadaad mein esaai apne mulkon ko chore kar faraar ho rahay hain. Un ki halat-e-zaar jan-nay ke liye BBC ki JAIN KORBIN ne shaam aur Iraq sameit khi-ttay ka safar kya hai. Jab mein aik pahari rastay se hotay hue Iraq ke Newni ilaqay mein waqaie 4th Century mein banai gayi Senate Mathew ki khanqah ki janib barh rahi thi to ibadat mein masroof Rahibon ki aawaz sunai day rahi thi. Jab sultanatِ room ka sarkari mazhab esaiyat tha is zamane mein yahan saat hazaar Rahib ibadat kya karte they. Is waqt yahan ki taqreeban tamam abadi esaai thi.

Lekin ab yahan esaion ki abadi na honay ke barabar hai. khanqah mein sirf 6 Rahib reh gaye hain aur zaireen idhar anay ki himmat nahi karte. Paadri Yousuf ne mujhe bataya ke yahan se Dolatِ Islamia ke jangju door nahi hain is liye log yahan anay se khauf zada hain. Hum apne khandan, log aur apne mazhab esaiyat ke baray mein pareshan hain. Kard Jangju khanqah ki hifazat kar rahay they aur door maidan se golah baari ki aawaz aa rahi thi aur khud sakhta Dolatِ Islamia ke thikanon par ittihadi tayyaron ki bombari ke baad dhuwan uthata howa deekhaee day raha tha. Dolatِ Islamia ne guzashta baras Newni ke ilaqay par qabza kar liya tha jis ki wajah se mosal aur is ke irad gird waqaiye Qasbon se hazaron ki tadaad mein esaai naqal makani karne par majaboor hogaye they. Khanqah mein kuch esaai khandano ne panah le rakhi hai.

13 sala Nar-Deen jo kuch arsa se apne khandan ke sath yahan reh rahi hai ne mujhe bataya ke Dolatِ Islamia ke jangju bohat zalim hain sab jantay hain ke unhon ne Yazidi larkiyon ke sath kaisa sulooq kya tha. Nar-Deen ki maa ka kehna tha ke Dolatِ Islamia ke jangju kisi ke sath reham-dili ke sath paish nahi atay woh aurton ka Rapes karte hain. Hum apni baityon ke liye fikar mand thay is liye bhaag kar yahan aaa gaye.

Khanqah ki hifazat karne walay kard pishmrgha fouji Dolatِ Islamia ke intahaa pasand Islam se mutfiq nahi hain aur kard pishmrgha fouj ke general Hamid Afandi ny mujhe yaqeen dilaya ko woh har haalat mein esaion ki hifazat karen ge. Hum yahan aik arsay se bhaiyon ki terhan reh rahay hain aur kurdistan mein musalmanoon aur esaion mein koi farq nahi hai. Esaion ke sath isi terhan ke sulooq ki kahani mashriqِ wasta ke deegar mulkon mein bhi duhrai ja rahi hai.

Asiyant Maula se bhagnay walay isaai shehrion mein shaamil theen. Shaam ka qadeem shehar Maula saddar Bishar-ul-Asad aur Al Qaeda ke himayat Yafta Janghu ke darmain 2013 mein honay wali jharpon ke nateejay mein mukammal tor par tabah ho chuka hai. Maula duniya ka wahid shehar hai jahan abhi bhi Hazrat Essa (A.S) ki maadri zabaan aarami boli jati hai. Esaai mazhab ke is muqaddas shehar par jab musalman shiddat pasandon ka qabza howa tha to teen hazaar Esaai shehar chore kar bhaag gaye they. 

Ab shehar par dobarah hakoomati afwaj ka control hai aur aahista aahista isaai abadi wapas aa rahi hai. Waziya rahay ke shaam mein jari khana-jangi mein ab taq 2 laakh se ziyada afraad maaray ja chuke hain jis mein ghaliban aksariyat musalmanoon ki hai. maghrib Esaiyon ko Iraq mein rehne ki Talqeen karne ke bajaye apne darwazay kholay aur logon ko visay diye. Hamein logon ko bawaqar zindagi guzaarne ke muwaqe faraham karne hoon ge. Hum unhein yahan marnay ke liye nahi chore satke.

Paadri Daglis neh shehar par hakoomati fouj ke dobarah qabzay ke baad saddar bashar-alasad neh yahan ka dora bhi kya hai. In ko maluk ki Esaai abadi ki himayat ki zaroorat hai. Maula par Qabza shaam mein rehne walay esaion ke liye aik ahem mourr tha aur un ko kuch sakht faislay karne parre. woh jantay they ke apne mazhab ko bachanay ke liye unhein hukoomat ki himayat karni parre gi. shehar ki aik esaai rehishi khatoon  ka kehna tha ke sirf hukoomat hi esaion ko shaam mein rehne ke liye madad faraham kar sakti hai, Maula mere dil mein basta hai, mein is ko chore nahi sakti kyun kay mere khayaal mein agar maula mein esaai nahi hon ge to phir shaam mein bhi esaai nahi hon ge.
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: