Maazi mein kamyaab aur nayaab samjha jany wala phal papeeta ab duniya ke har konay mein taqreeban sara saal hi dastyab hota hai.
Papeetay ke phal ko kacha aur pakka dono sooraton mein istemaal kya jata hai aur yeh dono hi sooraton mein insani sahet ke liye besh baha fawaid ka haamil hai.
Papeetay ki Ghizai Ahmiyat
Vitamin A, vitamin C aur be shumaar madniyaat se bharay is phal ki thori se miqdaar hi insani jism ko dar-kaar vitamin C ki roz marrah miqdaar ko poora kar sakti hai . Sodium, calories aur starch ki kam miqdaar ke baais is phal ke aur bhi mutadid fawaid hain .
1. Hazme Mein Madadgaar
Papeetay mein mojood khusoosi khamray ( enzyme ) ki mojoodgi ki wajah se usay protein ke hazme ke liye ahem samgha jata hai . Aik tahaqeeq ke mutabiq protein ke hazme ko behtar bananay ke liye sab se ziyada behtar achi terhan pakka howa papeeta hai. Papeetay ko pait ke deegar masail aur aam bimarion jaisay ke bad-hazmi, anton ke masail ke hal mein bhi madadgaar samgha jata hai .
2. Cancer se Tahaffuz
Keemiyai Ansar ' alcopine' ki mojoodgi ki wajah se Papeetay ko cancer ke khilaaf muzahmat faraham karne mein bhi ahem samgha jata hai. Alcopine jism mein Prostate, Pehphron, Lablabay, Maiday ki naali, breast aur maiday ke cancer ko phelnay se rokta hai .
3. Roshan aur Sahet Mand Ankhen
Papeetay mein mojood Carotonite aankhon ki sahet ko barqarar rakhnay mein ahem kirdaar ada karte hain aur papeeta khanay walay afraad ki ankhen barhti Umar ke sath kamzor honay se wazeh hadd taq mehfooz rehti hain .
4. Pait ke Keeron se Nijaat
Mahireen ke mutabiq is phal aur is ke beej pait mein mojood keeron ke khilaaf herat angaiz tor par kaam karte hain. Yeh daawa mukhtalif tehqiqaat se bhi saabit ho chuka hai jab saat din mein papeeta aur is ke beej khanay walay bachon ke pait se keeray bilkul khatam hogaye .
5. Chamakti Damkti Jild
Beta-kerotin se bharpoor papeeta insani jism ke sab se barray aur ahem uzoo' jild' ke liye bhi yaksaa mufeed hai. Papeetay ko nah sirf khanay se bohat se fawaid haasil kiye ja saktay hain balkay jild par laga kar bhi is se mustafeed howa ja sakta hai. Papeetay ka ras Sooraj ki shu-aon se mutasir0 jild ko thanda karne aur naye khaliyaat bananay mein madadgaar saabit hota hai, jab kay kachay Papeetay ka goda jild ki behtareen safai kar sakta hai. Yahi wajah hai ke bohat se soaps, face wash aur hand wash waghera mein bhi Papeetay ka istemaal kya jata hai .
6. Heart Attack ka Khadsha Kam
Mukhtalif khamaron aur keemiyai anasir ki mojoodgi ki wajah se papeeta dil ke doray ke khadshay mein bhi wazeh kami laane ka baais bantaa hai.
0 comments: