Ak tahaqeeq ke mutabiq faalij ke baad insani jism ko honay walay nuqsaan ko theek karne mein haldi bohat madadgaar saabit ho sakti hai.
Los Angeles mein aik medical center mein tahaqeeq karon ny khargosh par research ke baad ab insanon par is ke istemaal ki tayari shuru kar di hai.
Haldi se tayyar ki jaaney wali medicine dimagh ke khalion tak pahunchti hai aur pathon aur dimaghi amal ke masail ko kam karti hai .
Faalij ke liye kaam karne wali tanzeem ka kehna hai ke yeh pehli ahem tahaqeeq hai jis se yeh saabit howa hai ke haldi faalij ke mareezon ke liye mufeed saabit ho sakti hai .
Bharat mein sadiiyon se haldi ka istemaal aayoroydk dawaon mein kya jata raha hai aur mutadid tajrbon se yeh baat samnay aayi hai ke haldi ke kayi faiday hain .
Khargosh par kiye jaaney walay tajarbay se yeh saabit howa hai ke insanon mein faalij ka asr honay ke teen ghanton baad insanon par is dawa ka asr hona shuru ho jata hai. Aisay ilaaj ke liye is waqat mojood dawa bhi itna hi waqt layte hai .
Tahaqeeq ke sarbarah ka kehna hai ke is medicne se faalij ke baad dimaghi khalion ko zindah rakhnay mein madad millti hai. Un ka kehna hai ke halan-k insanon par is dawa ke tajarbay ki tayari ki ja rahi hai lekin is dawa se aam ilaaj mein abhi waqt lag sakta hai .
'STROKE ASSOCIATION ' ki doctor Sherleen Ahmed ka kehna hai ke haldi sahet ke liye kitni mufeed hai yeh baat pehlay se hi sab jantay hain. Un ka kehna tha ke hamein aisay ilaaj ki zaroorat hai jis se faalij ke foran baad dimaghi khalion ki hifazat ki ja sakay aur mareez jaldi sahet yab ho sakay.
0 comments: