Monday 20 March 2017

Technology ka Istemaal Bachon ki Zehni Nash-o-Numa ke Liye Khatrah.....




Aik jadeed theqeek se yeh baat saabit hui hai ke technology ka be-ja istemaal bachon ki zehni nash-o-numa ko sust bana deta hai. Lekin aaj kal ke walidain is baat se be-khabar hain. Aksar yeh cheez dekhnay mein aati hai ke chhootey bachay jab bhi rotay hain to un ke walidain un ko behlaane ke liye mobile phone ya tablet bachon ko thaama dete hain. Jis se bacha is taraf mutwajjah ho jatay hai aur chup ho jata hai. Isi liye walidain bachon ko chup karanay ke liye technology ka istemaal karte hain.

American jareeday mein shaya honay wali tehqeeqi report ke mutabiq bachon ki zehni nash-o-numa ke liye bachon ke khandan walon ke ilawa aur koi naim-o-badal nahi hai. lehaza tamam walidain ab se apne bachon ko technology se door rakhen aur khud se un par tavajja den taa kay woh zehni tor par sehat mand aur tandrost rahen..
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: