Monday 20 March 2017

Amrazِ-e-Qalb se Bachao ke Liye Qudrati Khuraak



Aaj duniya bhar mein dil ke mareezon ki tadaad mein taizi se honay wala izafah intahi tashweesh-naak hai, jis ki bunyadi wajuhaat main naaqis khuraak shaamil hai. Bila-shuba dil ke amraaz jaan lewa aur un ka ilaaj bohat mehanga hai lekin saada ghiza, ziyada phal aur sabzion ke zariye kaafi hadd taq un se bacha ja sakta hai. yahan hum aap ko aisi gizaon ke baare mein bitayen ge, jin ke istemaal se amraaz qalb la-haq honay ke khadshaat mein wazeh kami aaa sakati hai.

Dahi: Tahaqeeq se saabit howa hai ke dahi ka istemaal masurhon ke amraaz se mehfooz rakhta hai aur masu-rhon ki bemari se amraaz qalb ke khadshaat barh jatay hain. Japani mahireen ne aik hazaar aisay baaligh afraad par tahaqeeq ki, jo doodh ya is se bani cheezon maslan dahi waghera ka ziyada istemaal karte the. Nataij ke mutabiq aisay afraad mein masu-rhon ki bemariyan na honay ke barabar the aur mahireen ka maanna hai ke doodh aur dahi mein shaamil ajzaa moonn mein janam lainay walay dushman bacteria ki nashonuma ko roknay mein ahem kirdaar ada karte hain .

KishMish: Kishmish aisay bacteria ko bherne se rokta hai, jo masu-rhon ke amraaz ko janam dete hain. Aik report ke mutabiq America mein masu-rhon ke bimarion mein mub-tala 50% log amraaz-e-qalb ka shikaar ho jatay hain, lehaza aik bemari ke khilaaf jeet doosri ko haawi honay se rokkk deti hai .
Lobia: Lobia ka baqaida istemaal aap ke dil ki sahet ke liye nihayat mufeed hai. Nyotrishn journal mein shaya honay wali aik tahaqeeq ke mutabiq pakaye hue lobia ka rozana aadha cupp jism mein cholesterol ki satah ko kam kiye rakhta hai.

Machlli: Hafta mein aik ya do baar baqaidagi se machhli khanay se amraaz-e-qalb ke khadshaat mein 30% taq kami waqay ho jati hai. Machhli mein paye janay walay omega3 Nami protein ke baais khoon ki ravani mein behtari aati hai, jis se nah sirf amraaz-e-qalb balkay blood pressure ke khatraat bhi kam ho jatay hain .
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: