Baharat ke Mahindiya Nami aik aashiq naay 22 January 1977 ko cycle par Dehli se apne safar ka aaghaz kiya aur chaar saal baad woh apni mehbooba ke paas Sweden ja pouncha .
Ab 40 saal baad un ki zindagi par shaya honay walay novel naay un ki mohabbat ko dobara zinda kar diya hai aur yeh novel bohat maqbool ho raha hai jisay Swedan ke aik mashhoor musannif P.R.Adison naay tehreer kya hai.
Is tofani prem kahani ka aaghaz 1975 mein howa jab Mahindiya Dehli ke aik hotel mein sayaho ke pencil sketch banatay they. Aik roz un ki mulaqaat Swedan ki sayah Shar-Loot se hui. Woh 10 rupay ke badlay 10 minute mein tasweer bananay wala daawa parh kar Mahindiya ke paas ayen aur apni tasweer bananay ko kaha hai, lekin pehli nazar main hi ghareeb musawir ka dil goya doob gaya aur sketch banatay hue un ka haath kap-ka-pata raha aur tasweer kharab bani. Khatoon aglay roz dobarah tasweer bananay pohnchain lekin is baar bhi nateeja wohi nikla
Iss ke baad Shar-loot is muamlay ko samajh gayeen. Mahindiya ka talluq dilat zaat se tha, jisay Baharat mein log achhot samajte hain lekin jon hi Shar-loot se un ki ankhen milein inhen apni walida ki paish goi yaad aagai jis mein unhon ny kaha tha ke bohat daur se aik khobsorat larki un se milnay aeye gi, jis ka pedaishi burj Surr hoga. Woh moseeqi se mohabbat kere gi aur aik jungle ki malikan hogi. Gori ko dekhte hi Mahindiya ko khayaal aaya ke un ki maa ki baat poori ho chuki hai aur wohi is ki dulhan banay gi.
Jab Mahindiya ne Shar-Lot se saari baaten poucheen to unhon ny un ki tasdeeq kar di. Is ke baad dono qareeb atay gaye aur un dono ki shadi ho gayi. Ta-ham baaz wajoh ki bana par woh apne shohar ko sath na le ja saki aur jahaaz ke ticket ki raqam day kar Swedan ke Shehar Boras mein apna pata likhwaya lekin is ny raqam lainay se inkaar kardiya. Is ke baad woh Swedan chali gayi. Laakh koshish ke bawajood bhi Mahindiya ke pass karaye ki raqam jama na ho saki. Is ne 60 rupay ki aik cycle kharidi aur iss waqt hipon ki tarz par aik maluk se dosray maluk tak ho kar Swedan pounchanay ka iradah kar liya.
22 January 1977 ko woh Dehli se niklay phir Pakistan, Afghanistan, Iran aur Turkey se hotay howe Europe mein daakhil howa. Rastay mein un ka fnun-e-musawari kaam aaya aur woh logon ke sketch bana kar raqam kamate rahay aur agay barhatay rahay. Is safar mein woh bemaar bhi hue aur zakhmi bhi lekin himmat na haari aur agay barhatay rahay. 4 saal baad 28 May 1981 ko woh Europe ponche aur Venus se train le kar Swedan ponche.
Tamam samaji aur saqafati faraq ke bawajood Shar-Loot ke walidain ne Mahindiya ko qubool kar liya aur ab yeh jora khush zindagi guzar raha hai. Is ajeeb dastanِ-e-mohabbat par aik novel tehreer kiya gaya hai jo hathon haath farokht ho raha hai. Mahindiya ke mutabiq woh Shar-Loot se aaj bhi itni hi mohabbat karte hain jitni inhen pehli nazar mein hui thi....
0 comments: