Tuesday, 14 March 2017

Kuwait Mein Dil ki Shakal ka Tarbooz Awam ki Tawajah ka Markaz Ban Gaya....



Kya aap 34 hazaar 500 rupay ka aik tarbooz khareedain ge, na to hum ne ghalat likha hai aur na hi aap usay ghalat samjhye ga, balkay is ki qeemat bilkul sahi batai gai hai ab aapp yeh mat kahiye ga ke is tarbooz ke sath aap ko kya cheez muft miley gi to janab hum aap ko yeh bhi bata dain ke yeh sirf aik tarbooz hi ki qeemat hai, bas yeh mukhtalif kuch is tarhan ka hai ke jo tarbooz aap aur hum khatay hain woh aam tor par baizvi aur goll shakal ka hota hai lekin yeh tarbooz hai dil ki shakal ka jo aap kha bhi satke hain aur kisi ko tohfa bhi day satke hain .


Arab Website ke mutabik Japan ke aik kaashat-car ne dil ki shakal ke 120 tarbooz kaashat kiye, Jin mein se 40 Japan mein hi farokht kardiye gaye jabkay 40 Russia aur 40 Kuwait bhijvaaye gaye. Kuwait mein is dil daar tarbooz ki qeemat hai 351 American dollars jo Pakistani currency mein 34 hazaar 500 rupay se kuch ziyada banti hai.

Kuwait to oil ki doulat se mala-maal aik Ameer maluk hai jahan ke shehrion (Citizens) ke liye shayed itnay paison ki koi ahmiyat nahi hogi aur jab istetat aur shoq aik sath mil jayen to kharedar usay kharidne mein bhi dair nahi lagaye ga lekin Pakistan mein shayed aam aadmi ko usay kharidne ke liye ya to kisi se udhaar lena parre ga ya apni koi qeemti cheez baicheni parre gi .

Aur sochye agar koi is tarbooz ke baare mein koi hamaray sabiq minister Balochistan Mohtaram Aslam Risai sahib se pooch laita to woh shayad yahi jawab dete tarbooz to tarbooz hota hai baizvi ho gool ya phir dil ki shakal ka lekin inhen yeh baat kon betaye ke hum Pakistanio mein se kitney is ko kharidne ki istetat rakhtay hain....
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: