Thursday, 16 March 2017

Hazrat Iman Hussain (R.A)



Hussain naam aur Abbu Abdul Allah kuniat hai. Paighambar khuda Hazrat Mohammad (PBUH) ke chhootey nawase,Ali (R.A) aur Fatima Zohra ke chhootey sahib-zaday they. Un ke baray mein Rasoolِ (PBUH) ka irshad hai ke 'Hussain mujh se hai aur mein Hussain se hon.

Wiladat (Berth)
Hijrat ke 4th saal teesri shabaan ke din Aap (R.A) ki wiladat hui. Is khushkhabri ko sun kar App (PBUH) tashreef laaye, betay ko goad mein liya, dahinay kaan mein azaan aur bayen mein aqamat kahi aur apni zabaan mun mein day daydi. Paighambar (PBUH) ka muqaddas lauaab Hussain (A.S) ki ghiza bana. 7th din aqeeqa kiya gaya. aap (R.A) paidaiesh se tamam khandan mein khushi aur musarrat mehsoos ki jati thi magar anay walay halaat ka ilm Paighambar (PBUH) ki ankhoo mein ansoo barsata tha. Aur isi waqt se Hussain (R.A) ke masaaib ka charcha Rasool (PBUD) ki zabanon par anay laga .

Growth
Pighmbraslam (PBUH) ki goad mein jo Islam ki tarbiyat ka gehwara thi ab din bhar doo bachon ki parwarish mein masroof hui aik Hussain (R.A) dosray Hassann (R.A) aur is terhan un dono ka aur Islam ka aik hi gehwaara tha jis mein dono parwan char rahay they. Aik taraf Paighambar (PBUH) jin ki zindagi ka maqsad hi ikhlaq insani ki takmeel thi aur doosri taraf Hazrat Ameer-ul-Momineen Ali (R.A) bin Abi-taalib (A.S) jo apne amal se khuda ki marzi ke kharedar ban chuke they, teesri taraf Hazrat Fatima Zohra (R.A) jo khawateen ke tabqa mein Paighambar (PBUH) ki risalat ko amli tor par pohanchanay ke liye hi qudrat ki taraf se peda hui theen is noorani mahol mein Hussain (R.A) ki parwarish hui .

Rasool Allah (PBUH) ki mohabbat
Jaissa ke Hazrat Imam Hussan (R.A) ke halaat mein likha ja chuka hai ke Hazrat Mohammad  (PBUH) apne dono nawason ke sath intahai mohabbat farmatay they. Seenay par bithate they. Kandhon par charhatay they aur musalmanoon ko takeed farmatay they ke un se mohabbat rakho. Magar chhootey nawase ke sath Aap (PBUH) ki mohabbat ke andaaz kuch imtiaz khaas rakhtay they .

Aisa howa ha ke namaz mein sajda ki haalat mein Hussain (R.A) pusht mubarak par aaa gaye to sajda mein tole diya. Yahan taq ke bacha khud se bakhushi pusht par se alehda ho gaya. Is waqt sir sajday se uthaya aur kabhi khut-ba parhte hue Hussain (R.A) masjid ke darwazay se daakhil honay lagey aur zameen par gir gaye to Rasool (PBUH) neh apna khut-ba qata kar diya minbar se utar kar bachay ko zameen se uthaya aur phir minbar par tashreef le gaye aur musalmanoon ko mut-nabba kya ke dekho yeh Hussain (R.A) hai usay khoob pehchan lau aur is ki fazeelat ko yaad rakho Rasool (PBUH) ne Hussain (R.A) ke liye yeh alfaaz bhi khaas tor se farmaiye they ke Hussain mujh se aur mein Hussain (R.A) se hon. Mustaqbil ne bata diya ke Rasool (PBUH) ka matlab yeh tha ke mera naam aur kaam duniya mein Hussain (R.A) ki badolat qaim rahe ga.

Rasool (PBUH) ki wafaat ke baad
Imam Hussain (R.A) ki Umar abhi 6 saal ki thi jab intahai mohabbat karne walay ka saya sir se uth gaya. Ab 25 baras tak Hazrat Ali (R.A) bin Abi Taalib (R.A) ki khanah nasheeni ka door (Era) hai. Is zamane ke terhan terhan ke nagawaar halaat Imam Hussain (R.A) dekhte rahay aur apne waalid bazurg-war ki seerat ka bhi mutala farmatay rahay. Yeh wohi door tha jis mein aap ne jawani ki hudood mein qadam rakha aur bhar poor shabab ki manzlon ko tey kya. 53 ھء mein jab Hussain (R.A) ki Umar 13 baras ki thi aam musalmanoon ne Hazrat Ali (R.A) bin Abi Taalib (R.A) ko ba-hasiat khalifa islam tasleem kya .

Yeh Ameer-ul-Momineen (A.S) ki zindagi ke aakhri paanch saal they jin mein Jamal Safeen aur neherwan ki laraiyan huien aur Imam Hussain (R.A) un mein apne bazurg martaba baap ki nusrat aur himayat mein shareek hue aur shujaiat ke johar bhi dikhlaye. 04 ھء mein janab Ameer (R.A) Masjid Koofa mein shaheed hue aur ab imamat-o-khilafat ki zimma dariyan Imam Hussan (R.A) ke supurd howin jo Hazrat Imam Hussain (A.S) ke barray bhai they.

Hussain (R.A) neh aik ba-wafa aur itaat shoaar bhai ki terhan Hussan (R.A) ka sath diya .
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: