Wednesday, 15 March 2017

Firaon ke Mujasmay ka Dosra Hissa Talaash Kar Lainy ka Daawa




Misri aur German mahireen aassaar-e-Qadima ne Hazrat Musa (A.S) ke door ke Firaon ke mujasmay ke dhar ka dosra hissa talaash kar lainay ka daawa kya hai. Is mujasmay ka intehai bara sir aur deegar hissay guzishta haftay isi maqam se nikalay gaye thay. Mumkina tor par teen hazaar saal qadeem is barray mujasmay ka dhar Cranes ki madad se keechar se nikala gaya hai. Yeh baqiyat Shumal Mashriqi Cario mein Ramsys Sani jo azeem Ramsys ke naam se bhi jana jata tha ke madfan ke paas se mili hain.



Mahireen ka andaza hai ke yeh mujasma Ramsys sani ka ho sakta hai. Assaar-e-Qadima ke mehakmay ka kehna hai ke mujasmay ke tukron ko Markazi Cario mein museum mein le ja kar jora jaye ga, Unhein umeed hai ke un do barray tukron ko aik jagah rakhna mumkin ho ga.

Yeh mujasma danay daar chattaan se banaya gaya hai. Mujasma milnay ke maqam ke qareeb rehne walay afraad ne is mujasmay ko nikalay jany ki saari karwai apne gharon ki khirkion se jhaank kar dekhi .

Aik misar ke maahir ka kehna tha ke yeh mujasma bilkul asli lagta hai, yeh aik ahem daryaft hai. Misri aur German mahireen Assaar-e-Qadima ki aik team ne guzishta haftay yeh mujasma daryaft kya tha, Is mujasmay ka wazan teen (3) ton hai. Is se qabal jumaraat ko mujasmay ke sir ka aik aur tukra isi jagah se nikala gaya tha...
Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: